Email marketing kya hai, what is email marketing kaise kaam karti hai or use karne ki puri jankari hindi me. aap bhi email marketing karna chahte hai ya uske baarein me full information lena chahte hai to ye article padhte rahe.
Aapko pata hi hoga aajkal internet par bahot sare online business kiye ja rahe hai, unme se kuch log apne business ko grow karne ya jyda benefit prapt karne ke liye email marketing ka use kar rahe hai.
Email marketing kya hai - ईमेल मार्केटिंग क्या है ( What is email marketing In Hindi )
Kisi bhi tarah ke business me email ka jyda use kiya jata hai aese kaam ko email marketing kahete hai. aapne dekha hoga, amazon, flipkart, google, microsoft jesi badi companies ke mail aapko jarur aate honge ek tarah se dekha jaye to ye bhi email marketing hai.
Aapko facebook, twitter jesi social media sites se bhi updates ke notification aate rahete hai ye bhi ek email marketing ka hi example hai.
I think aap samaj hi gaye honge ki har wo kaam jisme email ka jyda use kiya jata hai use email marketing kahete hai, ab aapko jarur lag raha hoga ki ek business ko top par le janey ke liye iska use jarur karna chahiye.
Email marketing kaise use kare ( How to email marketing )
Aapko email marketing kaise use karni hai uske liye niche bataye 4 steps follow kare.
Step 1 : Sabse pahele soch lijiye ki aapko kish purpose se email marketing start karni hai. informational, research work ya promotional jyatar dekha jaye to log promotional purpose sehi emails bhejte hai.
Step 2 : Aapko email list ko build karna hai, aap soch sakte hai agar aapke pass dusro ke email address nahi hai to aap kise mail bhejenge or email marketing kaise karenge.
To sabse pahele aapko email list ready karni hai, kuch websites bhi hai Jo email list deti hai par iske liye aapko charge lagega or ye spamming way hai so rahene hi de.
Step 3 : Aapko email list ready karne ke baad ye decide karna hai ki aap kya information bhejenge or kab, aajkal email marketing ka trend jyda hai aap chahe to kuch premium tools ka use kar sakte hai ya fir gmail sehi bhej de.
Aapko premium tools ka use karna hai to uski list niche hai.
1. aweber.com
2. app6.juvlon.com
3. sendinblue.com
4. benchmarkemail.com
5. convertkit.com
6. activecampaign.com
7. constantcontact.com
8. zoho.com
Step 4 : Bas ab kya hai, apna kaam start kar dijiye, aap gmail ka use karle emails bhejenge to wo official nahi lagta hai. aapko official email address buy kar lena chahiye jaise dipak@successkaise.com aese email address dikhne me best lagte hai.
Aapke dwara bheje gaye mail padh kar koi aapke site par aa sakta hai, aapne jo product promote kiya use buy kar sakte hai etc.
I hope ki aapko email marketing kya hai ye information acchi lagi hogi,