Monday, January 29, 2018

Mobile Me Internet Data Save Kaise Kare - 16 Tips

ad300
Advertisement




Mobile me internet data save kaise kare / bachaye, humare mobile ka data on hota hai tab kabhi - kabhi internet data bahot jaldi khatam ho jata hai fir hum sochte hai ki aakhir aesa kyu ho raha hai. dosto humare mobile ka internet data jaldi khatam ho jata hai usme humari hi galti hai, mobile me koi problem nahi hai. is article me aapko kuch useful tips bataunga unhe follow karne ke baad aapka internet data bahot kam consume hoga, i mean internet data lambe time tak chalega.


Kuch log mobile ka thik se use karke data consume hone se bachate hai, kya aap bhi chahte hai ki aapke mobile ka net data kam consume hai to padhte rahiye article.



Android Mobile Me Internet Data Save Kaise Kare - मोबाइल में इंटरनेट डाटा सेव कैसे करें ( How To Save Internet Data In Android Mobile In Hindi - 16 Tips ) 


Aapko seriously ye jarur chahte hai ki internet data kam kate to niche batayi 16 useful tips bhi serious hoke padhe or follow kare kyu ki sirf padhne se kuch nahi hota aapko action bhi leni hogi.

Jyda der na karte hue aaiye useful internet saver tips ke baarein me jante hai.

1. Background Me chal rahe apps ( Background running apps ) 

Aapke mobile me bahot aese apps honge jinhe jo 24 hours mobile me on / running rahete hai, aap jab bhi internet use kar rahe ho tab wo running apps aapke data ko consume karte hai, sidhi basha me kahu to chal rahe apps aapke mobile ka internet data khate hai isiliye internet jaldi khatam ho jata hai.

Mobile me sabhi apps aese nahi hote hai jo internet data consume karte hai, aapko dhundna hoga ki konsa app hai so jyda MB ( mega bites ) khata hai. wo janne ke liye mobile settings me jaye waha aapko " data usage " ka option milega uspe click kare fir date select kare aapko pata chal jayega ki konse app ne kitni mb consume ki hai.

Background restrict apps

Jis app ne jyda data consume kiya hai, uspe click kare fir " restrict app background data " ko enable karde ab wo app background me kaam nahi karega aap jab usko use karoge tab wo kaam karega otherwise nahi so is tarah jyda MB bhi nahi kategi.

2. Force Stop Some Apps

Aap jin apps ka kam use karte hai unhe force stop karde or jinka use hi nahi karte umhe uninstall karde. app ko force stop kar dene se wo band ho jata hai or kaam nahi karta usko wapsh start karne ke liye uspe click karde.

Force stop apps

Kuch apps aese hote hai jinhe force stop karne ke baad bhi autometically wapsh start ho jate hai inhe auto start apps kahete hai, jiska power thoda jyda hota hai.



Deleted messages wapas kaise laye mobile me 

Auto start apps ko bhi stop karne ke liye humare pass powerful trick hai, sabse pahele app ko force stop karde uske baad settings>>data usage me jake us app pe click kare jo auto start hota hai fir restrict app background data feature ko on karde.

That's it, ab wo app kabhi start nahi hoga jab tak aap uspe click nahi karoge.

3. Auto Updates

Aap play store se apps download karte hai or unka new update aata hai to unme se kuch ya sab apps automatically updated ho jatey hai is process me bhi aapki bahot mb kat sakti hai, so aap chahte ki apps auto update naho to niche bataye steps follow kare.

1. Firstly play store open kare or menu me Jaye.

2. Settings par press kare.

3. Aapko waha auto update apps ka option dikhega uspe click kare.

Ab aapko " auto update apps over wi-fi only " ye line choose karni hai iska matlab ye hai ki jab aapka phone wi-fi se connected hoga tab apps update ho jayenge jisme aapka data barbad nahi hoga.

Stop auto update apps

Aap chahte hai ki apps wifi me bhi update nahi hone chahiye to " do not auto update apps " ye option select karle.

4. Browsing

Aap jitna browser ko jyda use karoge utni jyda MB kategi so koshish kare ki jaruri kaam ho tabhi browser me kuch search kiya jaye ya fir websites par jakar kuch activities karna.



jyda browsing karte hai to google chrome browser aapke liye best rahega kyu ki ye data saver ka feature hume provide karta hai jiski madad se hum bahot sara data consume hone se bacha sakte hai, aapko google chrome me data saver feature enable karna hai to niche bataye steps follow kare.

1. Google chrome browser open karke settings me jaiye.

2. Aapko " data saver " ka option dikhega uspe click kare.

Chrome browser data saver feature on

3. Page me right side me enabled karne ka button hoga uspe click kare.

Good, ab google chrome aapka internet data bachane me madad karega.

5. Upload High Quality Pictures And Videos

Aapke mobile ka camera 13 MP hai to jab koi picture capture karoge uska size 3 se 5 MB ke andar hoga ya jyda bhi hoga sakta hai or 3 minute ka video shut karoge to 150 MB ke upper uski size ho sakti hai agar aap aese videos ya aese 5-10 photo bhi kahi upload kar denge to MB jyda kategi.

Kuch log photos or videos bahot share karte hai par kuch hi log size check karte hai, so ek baar size jarur check karle uske baad hi files kisiko bheje or upload kare.

6. Off Whatsapp Media Auto Downloads 

Har android user whatsapp jarur use karta hai, aesa insaan sayad hi milega jiske pass android mobile hai or wo whatsapp use nahi karta agar milega bhi to usko jyda knowledge nahi hoga.

Kya aapko pata hai jab hum whatsapp me registered ho jate hai uske baad automatically videos, pictures, audio or documents download ho jatey hai jiski wajah se internet data jyda consume hota hai, don't worry isko kaise band karna hai uske baarein me hum bata rahe hai.


1. Sabse pahele whatsapp open kare.

2. Settings me jaiye fir usme data usage ka feature milega uspe click kare.

3. When using mobile data or when roaming me jake sab cheese un✓ Kar deni hai. good, ab aapke whatsapp me automatically koi bhi file download nahi hogi aap khud click karke download karoge to hogi.

Aap chahte ki files wi-fi me download naho to when connected on wi-fi me Jake sabhi cheeze par untickkarde.

7. Watch Online Videos

Aap online videos dekhoge to mobile ka data jyda consume hoga, so apne usage ke hisaab sehi videos dekhe. bahot sare log youtube par online videos dekhte hai or baad me jab video nahi chalta tab unko pata chalta hai ki yr internet data khatam ho gaya.



Aapko video pasand aaya to use download karle taki use baar - baar online dekhna na pade, youtube me bhi offline videos download karne ka feature hota hai uska use kare or agar aap youtube videos ko mobile ki gallery me download karna chahte to youtube videos mobile ki gallery me kaise download kare ye article padhe.

Jab online youtube par video dekhe tab video ke right side me aapko 3 dots dikhenge unpe click kare, quality me jaiye or 240p ya 360p choose karke hi video dekhe isse video high quality me na chalne ke karan kam internet data use hoga.

8. HD Calling

Aap kisike sath bhi video calling ke through jyda baat karte hai to internet data jyda katega, fir aap sochne lag jaoge ki internet data kaise bachaye.

9. Facebook Auto play Videos Disable

Facebook par har kisika account mil jata hai, agar aap bhi facebook chalate hai to jab kisi page, group ya kisiki timeline par visit karte hai tab humare samne koi video aa Jaye to wo automatically play ho jata hai, ye videos play hone se aapke mobile ka bahot sara internet waste ho sakta hai so niche bataye steps follow karke is feature ko disable kare.

Facebook autoplay videos disable

1. Sabse pahele facebook app open kare.

2. Menu me jaiye waha aapko " app settings " ka option  dikhega uspe click kare.

3. Different options show honge unme se " autoplay " option par press kare.

4. " Never autoplay videos " ko choose karle.

That's it, ab autometically videos play hona band ho jayenge.

10. Use Offline Maps

Mobile me online maps open karne se internet data bahot jyda consume hota hai so koshish kare ki best offline maps ko download karke unka use kiya jaye.

Google maps duniya ka bahot hi popular maps hai so isko hi use karna chahiye but offline kya aapko pata hai ki aap google maps me kisi specific place ke map ko download karke offline dekh sakte hai, jiha dosto ye bilkul sach hai. aaiye jante hai kaise ?

1. Sabse pahele google maps open kare.

2. Menu me Jaye waha " offline maps " ka option dikhega uspe click kare.

3. Select your own map par press kare.

4. Map me wo area select kare jiske map ko download karna chahte hai, download karne ki size / MB bhi aapko niche dikha dega.

download karna hai to right side me aapko upper ok dikhega uspe press karde. download hone ke baad aap menu>>offline maps me jake use use kar sakte hai.

11. Gmail Attachment Disable

Aapke mobile me ek din me bahot sare mails aate hai to videos, picture etc files automatically download ho sakti hai, jiski wajah se aapka internet data jaldi khatam ho sakta hai so isko niche bataye steps follow karke isko disable kare.

1. Sabse pahele Gmail app ko open kare.

2. Menu open kare fir settings par click kare.

3. Scroll down kare, niche aapko or download attachments feature on karde, kuch mobiles me ye pahele se on raheta hai.

12. Use Offline Games or Apps

Play store par aajkal bahot sare apps or games mil jati hai, unme se kuch online chalte hai. app ka to thik hai par agar aap game ko online play karoge to jyda data consume ho sakta hai.

13. Usage data limit set

Android Mobile me data usage limit set karne ka option bhi diya jata hai, agar aapko per day 1 GB mil raha hai or aap chahte ho ki din me jab 200 MB bache tab aapko pata chalna chahiye to aap data usage limit me 800 MB set kar sakte hai, aaiye kaise karna hai ye jante hai.

1. Mobile ki settings me jaiye.

2. Data usage par click kare.

3. Aapko set cellular data limit ke option ko enable kare or apne hisaab se MB ya GB set karle.

14. Use data saver software / apps

Play store par jake  search baar me " data saver apps " likh kar search kare. now aapke samne kuch apps najar aayenge unme se jis app ko jyda logo ne download kiya hai, ratings or comments acche hai use download karle.



App ko download karne ke baad use installed karde, isko use karne se bhi mobile me kam data consume hota hai.

15. Stop automatic Backup

Aapne mobile me automatic backup set kiya hai to app time - time par backup leta rahega jisse jyda mb kategi so ise band kare or jab bhi backup lena ho manually lele.

16. Sync Off 

Mobile me gmail account / email id login karne ke baad bahot sari services activate ho jati hai jaise drive, google photos, calendar, gmail, contacts, chrome, app data, google fit data, keep, people's details etc to aap jis service ko Kam use karte hai use disable kar sakte hai, aesa karne ke liye niche bataye steps follow kare.

Sync off

1. Sabse pahele mobile ki settings me Jaye fir account me Jaye.

2. Google select kare.

3. Aapke mobile me 2 email I'd login hai to kisi ek ko select kare, ab jis service ko off karna hai karde.

I hope ki android mobile me internet data save kaise kare / bachaye ye article aapko accha laga hoga, krupiya whatsapp, facebook, twitter etc social media sites par is article ko jarur share kare taki aapke dwara dusro ki bhi help ho jaye agar koi problem aaye to hume comment ke jariye bataye otherwise aap humare fb page visit kar sakte hai.

Share This
Previous Post
Next Post

About Author :- My name is himanshu pathak From hamirpur uttar pradesh india. Iam a passinate and full Time blogger. If you like his articles then share with your friend and Social media sites facebook twitter more Etc and Keep Visting on Blog net Book.

0 comments:

Thank you for comment