![]() |
Advertisement |
Android mobile se delete text message wapas kaise laye, aaj me aapko aesi trick bataunga jisse aap deleted call history or message / sms ko recover kar sakte hai.
Kabhi kabhi aesa time aata hai jab log apne mobile se sms deleted kar dete hai ye kaam kisi person ya fir mobile ki internal memory full ho jane par hota hai, anyway reason chahe kuch bhi ho aaiye jante hai deleted hue sms recover kaise karte hai.
Deleted Message Wapas Kaise Laye - How To Recover Deleted Text Messages On Android Mobile In Hindi
Mobile se sms or call logs deleted ho Jane par use wapsh lane ke liye internet par bahot sare apps available hai jinme se kuch ka best performance hai or kuch ka nahi. dusre recovery apps bhi acche hai par aapka data unme save hoga or aap backup ki cheeze unme hi dekh payenge.
Bahot sare log ye chahte hai ki deleted sms or call history ko wo unki original jagah par wapsh la sake, kya aesa ho sakta hai ? Han bilkul ye possible hai aap complete time or date ke sath recover kar sakte hai or me abhi aapko aesi hi trick ke baarein me batane wala hu.
Example : Maan lijiye maine apne mobile se call history / logs or message deleted kar diye ab me unhe wapas unki original jagah par lana chahu to la sakta hu, kuch apps me ye awesome feature available nahi hota hai.
Recover Deleted Text Messages In Hindi
Sabse pahele me aapko bata du aapko messages ka backup banana hoga fir agar aap mobile se messages delete bhi kar doge to baadme is trick ki madad se unhe apni original place par la sakenge.
1. Sabse pahele apne mobile me play store se sms backup & restore app download kare.
2. App install ho Jane ke baad use open kare fir get started par press kare.
3. Ab app phone calls, location, message, media storage etc ke liye permission magega so sabme allow kar dijiye.
4.
Aapko sms or calls ka icon dikhega or wo bhi najar aayega ki kitne message or call logs ka aap backup bana sakte hai, ab " Set Up A Backup " par click kare.
Aap messages ka backup banana chahta hai ya phone calls ka ye aapko select karna hai, waise dono ka backup lena hai fir bhi chalega ab next par click kare.
Backup ko kaha store karna hai ye aapse pucha jayega so sabse niche your phone ka option hoga uspe click kare, ok par press kare fir next karde.
7. Aapko automatically backup kitne me banate rahena hai wo yaha select karna hai, agar aap har 1 hour me backup Lena chahte hai to hourly select kare.
Ab finally " Backup Now " par press kare.
2-3 second wait kare fir aapko backup complete likha hua dikehga backup successfully ready ho chuka hai.
9. Ab aapko jab bhi koi particular message ya call history recover karni hai to " view details " par click kare.
Aapko sabhi backups najar aayenge jo aapne liye hai, jis backup ko recover karna hai uspe click kare.
11. Aapko right side me 3 dots najar aayenge unpe click kare ab ek pop-up page open hoga usme " Restore This Conversation " par press kare.
Good, that it. Ab apne mobile me jake check kare ki aapne Jo cheez restore ki hai wo original place par aayi hai ya nahi, ab aap dekhenge wo cheez sach me us jagah aa chuki hai.
I hope ki deleted text messages wapas kaise laye ye information aapko acchi lagi hogi, agar koi problem aaye to bataye.
0 comments:
Thank you for comment