![]() |
Advertisement |
Aapki website ya fir youtube channel hai to aapne Google Adsense ke baarein me suna hi hoga or aapko ye bhi pata hoga ki google Adsense online advertisement karne me bahot hi popular network hai.
Jis insaan ka blog/website ya youtube channel hoti hai wo Google Adsense me join hone ke liye sochta hai kyu ki ye advertisement compnay trusted or jyda paise deti hai.
India or Pakistan jaisi countrys me Google Adsense me approval pana bahot hi mushkil hai kyu ki company ne fake logo se bachne ke liye apni policy bahot strong bana di hai or aapko pata hi hoga ki google ke kitne alag alag product hai lekin sab numbre one hai kyu ki ye apne har product pe bahot focus karta hai.
Google Adsense kya hai ( what is Google Adsense ) :
Google Adsense CPC ( cost per click ) advertising network hai publisher's ise use karke paise kama sakte hai. Agar aapke pass blog/website ya youtube channel hai to aap AdSense account ke liye apply kar sakte hai account ko apply karne ka option aapko blog or youtube channel dono me mil jata hai, to aapki channel ya blog pe jyda traffic as raha hai to apply kar sakte ho agar aapki site Adsense team ko acchi lagi to wo approval kar dega or account se code provide karwaye jayenge unhe aap blog me lagaoge fir unki team check karegi agar unko sahi laga to wo ads display karna start kar denge ab aapka koi visitor ad pe click karega to aapko uske Kuch paise milenge wo directly aapke Adsense account me add hote hai or monthly aapke $100 hone pe bank account me online services se transfer kar diye jate hai.
Example : Jaise maan le ki meri bikes ki company hai or me uski online advertisement karwana chahta hu to me AdWords ko kuch paise dunga wo fir mere bikes ki advertisement google Adsense ke dwara karenge.
CPC :- Blog/website se ads pe click hone ka jo paisa milta hai ise CPC kahte hai CPC $0.01 se start hoti hai ye jitni jyda hoti hai aapko utna jyda paisa milta hai uske liye ye depend karta hai ki aapne kish topic pe blog banaya hai jis topic pe Adsense jyda paise deta hai usi pe aap kaam karenge to jyda paise milenge mera matlab aapko high CPC keyword blog me use karne honge.
Traffic :- Aapke blog me jo log artcile padhane ke liye aate hai unko simple word me visitors or internet ki duniya me traffic kahte hai.
Google Adsense kaise kaam karta hai :
AdWords bhi ek Google kahi program/hissa hai Jo log apni site ya product ka advertisement karwana chahte hai wo Adwords me contact karte hai ads ka google unse Kuch paise leta hai or fir adsense blog/website or youtube channel pe jisne paise diya hai uski product ya website ki ads dikhane start kar deta hai. Adsnese content ke related hi ads show karta hai so click hone ke chances bad jate hai jaise maan lijiye aap banking or cars ke baarein me likhte hai to aapke blog ya website me inse related hi ads show hogi.
Adsense account jaldi approve karwane ke tips :
=> Apni site ke liye top level domain name select kare jaise .Com .Org .net .In etc.
Domain names me .Com sabse popular hai so isse hi select kare or aap ek hi country ko target karna chahte hai to India ke liye .In choose kar sakte hai.
=> Site ko fully seo ( search engine optimization ) friendly or responsive banaye.
=> Blog/website ki design aesi rakhe ki Kisi ko bhi dekh ke accha laga.
=> Blog post me kam se kam 1000 words jarur hone chahiye.
=> Blog/site me 40 artcile hone pehi Adsense ke liye apply kare.
=> Aapki site pe google search engine se everyday 200 se jyda traffic aana chahiye.
=> Artcile me ek hi keyword ko jyda repeat na kare matalb 4℅ se jyda koi bhi word repeat nahi hona chahiye.
Post summary :
I hope ki google Adsense kya hai or kaise kaam karta hai uske baarein me jaan ke aapko accha laga, Adsense approval karne ke liye or bhi baato ka dhyan rakhna raheta hai wo me next artcile me bataunga. Agar koi question hoto aap comment kar ke puch sakte hai. har roj humare new articles ko
padhne ke liye yaha click karke mere fb page ko like kren
Recommended for you :
* Youtube channel kya hai monthly 100,000 kamaye
* Blog/website free me kaise banaye
* Amazon affiliate marketing se online money earn kare
0 comments:
Thank you for comment