Monday, January 29, 2018

Online Free SMS Kaise Send Kare





Internet ka aavishkar hua hai tab se iska use badh chuka hai aaj ke time me duniya me isko 90℅ plus people's use Karte hai, or kafi sare business online kiye ja raha hai. Aaj me aapko ye bataunga ki online free sms sendkaise send kare, send text message online.

Internet pe Kuch log is cheez ka already use kar rahe hai agar aapko bhi is cheez ke baarein me nahi pata to online free text message kaise send or receive kare jarur padhe.

Online free Sms kaise Send kare



Internet pe Kuch aesi website's hai Jo humko unlimited free sms ( Short Message Service ) send or receive Karne ki service provide karwati hai so chaliye aaj hum unhi mese kuch popular sites ke baarein mai detail me jante hai, How to send Free sms Online.

SMS kaise send karna hai uske pahle hum benefits ke baarein me jaan lete hai kyu ki ye janna bahot jaruri hai ki SMS send service kis tarah upyogi ho sakti hai.


Benefits of Online Free Sms ( Fayde )


1. Aap soch rahe honge ki agar humare mobile me internet free hai or samne Wala bhi internet or social media ka use karta hai to kyu na hum whatsapp, Facebook, Twitter etc pe message karke baat kar le par Isme ek problem hai dosto jaruri nahi ki wo insaan 24*7 Online rahega matlab aap on ho tab wo off bhi ho sakta hai so agar aap free sms send service ka use Karte hai to aap uske mobile number pe sms bhej sakte hai.

2. Jab aapko jaruri kaam hai, internet free hai par balance nahi hai or aap aesi jagah hai jaha talk time recharge karwana mushkil hai to aese time me aap samne waley ko free sms bhej sakte hai.


3. Aapke sim/mobile me sms free nahi hote tab aap is service ka use karke apne contacts me se kisiko bhi free sms send kar sakte.

4. Samne Wala mobile me Kuch bhi kar raha ho aap website se jaise hi msg send karenge uske mobile me sms turant receive ho jayega. Agar aap social media pe message send Karte hoto pata nahi samne Wala kab padhega.

( 1 ) Way2Sms


Ye site free sms send Karne me kafi popular hai to chaliye jante hai is site ko kaise use karna hai, krupiya sabhi steps dhyan se follow kare, Yaad rahe ye website sirf India ke liye hi banayi gayi hai mera matlab aap sirf India me SMS bhej payenge other countries me nahi.

1. firstly Way2sms.com pe visit kare.

2. Click here to go to way2sms.com likha hua hoga uspe click kare.

3. Register Now pe press kare.

4.

Aapke samne from open hoga jisme aapko kuch details fill karni hai jaise apna name, mobile number, email id/address or Characters verification kare matlab upper Jo word me code diye hue hai unhe niche box me enter kare, privacy policy agree kare √ fir Register Here pe click kare.

5. Ab aapke diye hue mobile number pe ek code send kiya jayega wo aapka password hoga so use yaad rakhe ya fir kahi note kar ke. Login ID/username aapka mobile number hi hoga or password aapko provide karwa diya jata hai.
Note : Agar aapke mobile Number pe message nahi aaya hai to 5 minute tak wait kare or fir bhi na aaye to usi page me niche ek option hoga jaha aapko kaha gaya jayega jayega ki msg receive na hua hoto aap wapsh apna mobile number or Character verify karke request submit kar sakte hai.

6.

Apna login ID or password enter kar ke login kare.

7. Aapko password change karne ke liye kaha jayega so apni choose se new password enter kare uske baad use wapsh daale fir Change & Continue pe click kare.

8.

Aapke samne ek new page open hoga waha aap jisko message bhejna chahte hai uska mobile Number daale, Niche ke box me Message likh sakte hai or emoji select karna chahe to waha ek emoji hoga uspe click kar sakte hai, yaar rahe aap 140 characters se jyda message nahi likh payenge. ( Kaise ho => Ye 7 Character hai )



Number enter or message likhne ke baad send pe click kar de, ab aapko Message Has been Submitted Successfully √ likha hua dikhega hai to samaj jaiye msg send ho chuka hai. aapke dwara send kiya hua SMS samne waley ko turant sirf 2 second me received ho jayega. Is website ko maine bhi use kiya hai or good experience raha.

Is website ka application / software bhi hai aapko baar baar website pe na aana pade uske liye aap way2sms ka official software play store se Download kar sakte hai.

( 2 ) 160by2


160by2.com se bhi hum unlimited free SMS send kar sakte hai, is site ko India me jyda use kiya jata hai.

1. Sabse pahle 160by2.com pe jaye.

2. Continue to 160by2.com pe press kare.

3. Register Now pe click kijiye.

4.


Ek from open hoga usme apna Name, Mobile number, Email ID/address, Gender ( male/female )  city, Character code verify kare, Term and conditions agree √ kare fir Create My Free Account Pe click kare.

5. Aapke mobile number pe ek code send kiya jayega wo code receive Karne me 30 minute tak lag sakte hai, yaad rahe wohi code aapka password hoga or username aapka mobile number.

6. Username or password enter karke login kare.
Ab aap free SMS ka benefit le sakte hai.

( 3 ) Site2Sms


Ye site bhi superb hai ye India me free SMS send Karne ke Feature ke sath Free voice call ka bhi Feature provide Karti hai.

1. Firstly Site2Sms.com pe jaye.

2. Home page me Click here to go to site2sms.com likha hoga uspe click kare.

3. Next page open hoga Jaime Register Now likha hua hoga uspe click kare.

4.

Name, Gender, date of birth, email id, Profession, state name or mobile number enter karke Verify & RegisterPe press kare.





5. Ab aapke number pe SMS ke dwara login ID or password provide karwaya jayega isme maximum 30 minute bhi lag Sakti hai fir site pe login karke aap unlimited free SMS or free voice send kar sakte hai.

( 4 ) AfreeSms


Afreesms site se aap Free me North AmericaSouth AmericaAfricaEuropeAsia or Oceania me free SMS send kar sakte hai, is site me aapko register/sign up Karne ki koi jarurat nahi hai so Isme details fill Karne ka time waste nahi hoga.

1. Sabse pahle Afreesms.com pe visit kare.

2. Home page me upper Send Free SMS likha hoga background color yellow, uspe click kare.

3. Next page open hoga jisme aapko ek from fill karna karna hai.


Country : Aapka Jisko SMS bhejna chahte hai wo konsi county ka hai wo choose kare.

Phone number : Samne Waley ka Mobile number enter kare.

Message : Aapko Jo message bhejnga hai wo bhejiye yaad rahe 160 character se jyda lamba message nahi likh payenge.

Sender Id : Apna Mobile number enter kare.

Verification code : Right side me Kuch number honge unhe box me Enter kare.

Finally, Niche send ka button Hoga uspe click kare de. SMS send hone pe aapko Your message has been successfully sent.

( 5 ) Youmint


Youmint site se aapko Register karna hai uske baad free SMS send karne ke sath sath hum waha se wallpaper bhi download kar sakte hai.

1. Firstly YouMint.com pe jaiye.

2. Home page me aapko Register Now Ka button dikhega uspe click kare.

3. Name, email, mobile number, country, Gender, username or password create kare fir Register Pe click kare.

4. Apna username/email/mobile number or password enter karke login kare, ab aap free SMS ka labh le sakte hai.

( 6 ) Hike


Hike messenger Free SMS Karne ki bhi Service provide karta hai but limit me. Aap Sign up karenge to 20 SMSka free balance mil jayega yani aap free me 20 SMS kisi bhi friend / family member ko send kar sakte hai. Sign up Karne ke baad agar aap apne dosto ko hike se join/connect karwate hai to aapko or 50 SMS mil jayenge. Aap hike se message karenge or samne Wala aapke message ka reply karega to Aapko wo reply hike messenger mehi received hoga Chalo yeto badiya baat hai. Play store se hike messenger software Download kar le.




Samne wala Reply dega to Wo hum tak pahochega ?

Maine upper Jin 5 site ke baarein me bataya unse aap SMS send kar sakte hai but agar samne Wala reply dega to wo aapko receive nahi hoga so is baat ka jarur dhyan rakhe.

Hum kitne characters me SMS send kar sakte hai ?

Har website ke rule different hai kisime maximum 140 character to kisime 160 isse bada message send nahi kar payenge.

Samne waley ko kitni der me message received hoga ?

1 or 6 number ki website se sms samne waley ko aapke dwara bheja gaya text message turant receive hota hai dusri 4 site me kabhi kabhi problem ho Sakti hai.

SMS send Karne ka koi charge lagega ?

Ye sabhi site free hai SMS send karna ka koi charge nahi lagega.

Kya In website's ko use karna safe hai ? Any security ?

Ye website's good service provide Karti hai or inhe bahot sare log use bhi Karte hai, in sites ka kahna hai ye hamari detail's safe rakhti hai. Krupiya dhyan de in sab Website's ka thinkvasava se koi sambhand nahi hai, in sab sites ko aap apni responsibility pe use karenge.

Password bhul Jane pe use reset kar sakte hai ?

Bilkul, Aap jab website pe login Karne jayenge to waha login ID /username enter kar de. Forgotten password niche show hoga uspe click kare waha se aap password change kar payenge.

Post Summary


Aapko or koi problem ya confusion hoto FB page pe message kar sakte hai ya fir comment kar sakte hai. 


Congratulations Guys..!!  Aapne successfully Online Free SMS Kaise Send kare ( Send text message online ) iske baarein me sari jankari leli hai, I hope ki aapko ye article pasnad aaya hoga. krupiya ise social media pe jarur share kare.

Deleted Messages Wapas Kaise Laye Recover Kare







Android mobile se delete text message wapas kaise laye, aaj me aapko aesi trick bataunga jisse aap deleted call history or message / sms ko recover kar sakte hai.

Kabhi kabhi aesa time aata hai jab log apne mobile se sms deleted kar dete hai ye kaam kisi person ya fir mobile ki internal memory full ho jane par hota hai, anyway reason chahe kuch bhi ho aaiye jante hai deleted hue sms recover kaise karte hai.

Deleted Message Wapas Kaise Laye - How To Recover Deleted Text Messages On Android Mobile In Hindi 



Mobile se sms or call logs deleted ho Jane par use wapsh lane ke liye internet par bahot sare apps available hai jinme se kuch ka best performance hai or kuch ka nahi. dusre recovery apps bhi acche hai par aapka data unme save hoga or aap backup ki cheeze unme hi dekh payenge. 

Bahot sare log ye chahte hai ki deleted sms or call history ko wo unki original jagah par wapsh la sake, kya aesa ho sakta hai ? Han bilkul ye possible hai aap complete time or date ke sath recover kar sakte hai or me abhi aapko aesi hi trick ke baarein me batane wala hu.


Example : Maan lijiye maine apne mobile se call history / logs or message deleted kar diye ab me unhe wapas unki original jagah par lana chahu to la sakta hu, kuch apps me ye awesome feature available nahi hota hai.

Recover Deleted Text Messages In Hindi


Sabse pahele me aapko bata du aapko messages ka backup banana hoga fir agar aap mobile se messages delete bhi kar doge to baadme is trick ki madad se unhe apni original place par la sakenge.

1. Sabse pahele apne mobile me play store se sms backup & restore app download kare.

2. App install ho Jane ke baad use open kare fir get started par press kare.

3. Ab app phone calls, location, message, media storage etc ke liye permission magega so sabme allow kar dijiye.

4.


Aapko sms or calls ka icon dikhega or wo bhi najar aayega ki kitne message or call logs ka aap backup bana sakte hai, ab " Set Up A Backup " par click kare.

5.


Aap messages ka backup banana chahta hai ya phone calls ka ye aapko select karna hai, waise dono ka backup lena hai fir bhi chalega ab next par click kare.

6.

Backup ko kaha store karna hai ye aapse pucha jayega so sabse niche your phone ka option hoga uspe click kare, ok par press kare fir next karde.

7. Aapko automatically backup kitne me banate rahena hai wo yaha select karna hai, agar aap har 1 hour me backup Lena chahte hai to hourly select kare.

Ab finally " Backup Now " par press kare.

8.

2-3 second wait kare fir aapko backup complete likha hua dikehga backup successfully ready ho chuka hai.

9. Ab aapko jab bhi koi particular message ya call history recover karni hai to " view details " par click kare.

10.

Aapko sabhi backups najar aayenge jo aapne liye hai, jis backup ko recover karna hai uspe click kare.




11. Aapko right side me 3 dots najar aayenge unpe click kare ab ek pop-up page open hoga usme " Restore This Conversation " par press kare.

Good, that it. Ab apne mobile me jake check kare ki aapne Jo cheez restore ki hai wo original place par aayi hai ya nahi, ab aap dekhenge wo cheez sach me us jagah aa chuki hai.

I hope ki deleted text messages wapas kaise laye ye information aapko acchi lagi hogi, agar koi problem aaye to bataye.
    

Mobile Me Internet Data Save Kaise Kare - 16 Tips





Mobile me internet data save kaise kare / bachaye, humare mobile ka data on hota hai tab kabhi - kabhi internet data bahot jaldi khatam ho jata hai fir hum sochte hai ki aakhir aesa kyu ho raha hai. dosto humare mobile ka internet data jaldi khatam ho jata hai usme humari hi galti hai, mobile me koi problem nahi hai. is article me aapko kuch useful tips bataunga unhe follow karne ke baad aapka internet data bahot kam consume hoga, i mean internet data lambe time tak chalega.


Kuch log mobile ka thik se use karke data consume hone se bachate hai, kya aap bhi chahte hai ki aapke mobile ka net data kam consume hai to padhte rahiye article.



Android Mobile Me Internet Data Save Kaise Kare - मोबाइल में इंटरनेट डाटा सेव कैसे करें ( How To Save Internet Data In Android Mobile In Hindi - 16 Tips ) 


Aapko seriously ye jarur chahte hai ki internet data kam kate to niche batayi 16 useful tips bhi serious hoke padhe or follow kare kyu ki sirf padhne se kuch nahi hota aapko action bhi leni hogi.

Jyda der na karte hue aaiye useful internet saver tips ke baarein me jante hai.

1. Background Me chal rahe apps ( Background running apps ) 

Aapke mobile me bahot aese apps honge jinhe jo 24 hours mobile me on / running rahete hai, aap jab bhi internet use kar rahe ho tab wo running apps aapke data ko consume karte hai, sidhi basha me kahu to chal rahe apps aapke mobile ka internet data khate hai isiliye internet jaldi khatam ho jata hai.

Mobile me sabhi apps aese nahi hote hai jo internet data consume karte hai, aapko dhundna hoga ki konsa app hai so jyda MB ( mega bites ) khata hai. wo janne ke liye mobile settings me jaye waha aapko " data usage " ka option milega uspe click kare fir date select kare aapko pata chal jayega ki konse app ne kitni mb consume ki hai.

Background restrict apps

Jis app ne jyda data consume kiya hai, uspe click kare fir " restrict app background data " ko enable karde ab wo app background me kaam nahi karega aap jab usko use karoge tab wo kaam karega otherwise nahi so is tarah jyda MB bhi nahi kategi.

2. Force Stop Some Apps

Aap jin apps ka kam use karte hai unhe force stop karde or jinka use hi nahi karte umhe uninstall karde. app ko force stop kar dene se wo band ho jata hai or kaam nahi karta usko wapsh start karne ke liye uspe click karde.

Force stop apps

Kuch apps aese hote hai jinhe force stop karne ke baad bhi autometically wapsh start ho jate hai inhe auto start apps kahete hai, jiska power thoda jyda hota hai.



Deleted messages wapas kaise laye mobile me 

Auto start apps ko bhi stop karne ke liye humare pass powerful trick hai, sabse pahele app ko force stop karde uske baad settings>>data usage me jake us app pe click kare jo auto start hota hai fir restrict app background data feature ko on karde.

That's it, ab wo app kabhi start nahi hoga jab tak aap uspe click nahi karoge.

3. Auto Updates

Aap play store se apps download karte hai or unka new update aata hai to unme se kuch ya sab apps automatically updated ho jatey hai is process me bhi aapki bahot mb kat sakti hai, so aap chahte ki apps auto update naho to niche bataye steps follow kare.

1. Firstly play store open kare or menu me Jaye.

2. Settings par press kare.

3. Aapko waha auto update apps ka option dikhega uspe click kare.

Ab aapko " auto update apps over wi-fi only " ye line choose karni hai iska matlab ye hai ki jab aapka phone wi-fi se connected hoga tab apps update ho jayenge jisme aapka data barbad nahi hoga.

Stop auto update apps

Aap chahte hai ki apps wifi me bhi update nahi hone chahiye to " do not auto update apps " ye option select karle.

4. Browsing

Aap jitna browser ko jyda use karoge utni jyda MB kategi so koshish kare ki jaruri kaam ho tabhi browser me kuch search kiya jaye ya fir websites par jakar kuch activities karna.



jyda browsing karte hai to google chrome browser aapke liye best rahega kyu ki ye data saver ka feature hume provide karta hai jiski madad se hum bahot sara data consume hone se bacha sakte hai, aapko google chrome me data saver feature enable karna hai to niche bataye steps follow kare.

1. Google chrome browser open karke settings me jaiye.

2. Aapko " data saver " ka option dikhega uspe click kare.

Chrome browser data saver feature on

3. Page me right side me enabled karne ka button hoga uspe click kare.

Good, ab google chrome aapka internet data bachane me madad karega.

5. Upload High Quality Pictures And Videos

Aapke mobile ka camera 13 MP hai to jab koi picture capture karoge uska size 3 se 5 MB ke andar hoga ya jyda bhi hoga sakta hai or 3 minute ka video shut karoge to 150 MB ke upper uski size ho sakti hai agar aap aese videos ya aese 5-10 photo bhi kahi upload kar denge to MB jyda kategi.

Kuch log photos or videos bahot share karte hai par kuch hi log size check karte hai, so ek baar size jarur check karle uske baad hi files kisiko bheje or upload kare.

6. Off Whatsapp Media Auto Downloads 

Har android user whatsapp jarur use karta hai, aesa insaan sayad hi milega jiske pass android mobile hai or wo whatsapp use nahi karta agar milega bhi to usko jyda knowledge nahi hoga.

Kya aapko pata hai jab hum whatsapp me registered ho jate hai uske baad automatically videos, pictures, audio or documents download ho jatey hai jiski wajah se internet data jyda consume hota hai, don't worry isko kaise band karna hai uske baarein me hum bata rahe hai.


1. Sabse pahele whatsapp open kare.

2. Settings me jaiye fir usme data usage ka feature milega uspe click kare.

3. When using mobile data or when roaming me jake sab cheese un✓ Kar deni hai. good, ab aapke whatsapp me automatically koi bhi file download nahi hogi aap khud click karke download karoge to hogi.

Aap chahte ki files wi-fi me download naho to when connected on wi-fi me Jake sabhi cheeze par untickkarde.

7. Watch Online Videos

Aap online videos dekhoge to mobile ka data jyda consume hoga, so apne usage ke hisaab sehi videos dekhe. bahot sare log youtube par online videos dekhte hai or baad me jab video nahi chalta tab unko pata chalta hai ki yr internet data khatam ho gaya.



Aapko video pasand aaya to use download karle taki use baar - baar online dekhna na pade, youtube me bhi offline videos download karne ka feature hota hai uska use kare or agar aap youtube videos ko mobile ki gallery me download karna chahte to youtube videos mobile ki gallery me kaise download kare ye article padhe.

Jab online youtube par video dekhe tab video ke right side me aapko 3 dots dikhenge unpe click kare, quality me jaiye or 240p ya 360p choose karke hi video dekhe isse video high quality me na chalne ke karan kam internet data use hoga.

8. HD Calling

Aap kisike sath bhi video calling ke through jyda baat karte hai to internet data jyda katega, fir aap sochne lag jaoge ki internet data kaise bachaye.

9. Facebook Auto play Videos Disable

Facebook par har kisika account mil jata hai, agar aap bhi facebook chalate hai to jab kisi page, group ya kisiki timeline par visit karte hai tab humare samne koi video aa Jaye to wo automatically play ho jata hai, ye videos play hone se aapke mobile ka bahot sara internet waste ho sakta hai so niche bataye steps follow karke is feature ko disable kare.

Facebook autoplay videos disable

1. Sabse pahele facebook app open kare.

2. Menu me jaiye waha aapko " app settings " ka option  dikhega uspe click kare.

3. Different options show honge unme se " autoplay " option par press kare.

4. " Never autoplay videos " ko choose karle.

That's it, ab autometically videos play hona band ho jayenge.

10. Use Offline Maps

Mobile me online maps open karne se internet data bahot jyda consume hota hai so koshish kare ki best offline maps ko download karke unka use kiya jaye.

Google maps duniya ka bahot hi popular maps hai so isko hi use karna chahiye but offline kya aapko pata hai ki aap google maps me kisi specific place ke map ko download karke offline dekh sakte hai, jiha dosto ye bilkul sach hai. aaiye jante hai kaise ?

1. Sabse pahele google maps open kare.

2. Menu me Jaye waha " offline maps " ka option dikhega uspe click kare.

3. Select your own map par press kare.

4. Map me wo area select kare jiske map ko download karna chahte hai, download karne ki size / MB bhi aapko niche dikha dega.

download karna hai to right side me aapko upper ok dikhega uspe press karde. download hone ke baad aap menu>>offline maps me jake use use kar sakte hai.

11. Gmail Attachment Disable

Aapke mobile me ek din me bahot sare mails aate hai to videos, picture etc files automatically download ho sakti hai, jiski wajah se aapka internet data jaldi khatam ho sakta hai so isko niche bataye steps follow karke isko disable kare.

1. Sabse pahele Gmail app ko open kare.

2. Menu open kare fir settings par click kare.

3. Scroll down kare, niche aapko or download attachments feature on karde, kuch mobiles me ye pahele se on raheta hai.

12. Use Offline Games or Apps

Play store par aajkal bahot sare apps or games mil jati hai, unme se kuch online chalte hai. app ka to thik hai par agar aap game ko online play karoge to jyda data consume ho sakta hai.

13. Usage data limit set

Android Mobile me data usage limit set karne ka option bhi diya jata hai, agar aapko per day 1 GB mil raha hai or aap chahte ho ki din me jab 200 MB bache tab aapko pata chalna chahiye to aap data usage limit me 800 MB set kar sakte hai, aaiye kaise karna hai ye jante hai.

1. Mobile ki settings me jaiye.

2. Data usage par click kare.

3. Aapko set cellular data limit ke option ko enable kare or apne hisaab se MB ya GB set karle.

14. Use data saver software / apps

Play store par jake  search baar me " data saver apps " likh kar search kare. now aapke samne kuch apps najar aayenge unme se jis app ko jyda logo ne download kiya hai, ratings or comments acche hai use download karle.



App ko download karne ke baad use installed karde, isko use karne se bhi mobile me kam data consume hota hai.

15. Stop automatic Backup

Aapne mobile me automatic backup set kiya hai to app time - time par backup leta rahega jisse jyda mb kategi so ise band kare or jab bhi backup lena ho manually lele.

16. Sync Off 

Mobile me gmail account / email id login karne ke baad bahot sari services activate ho jati hai jaise drive, google photos, calendar, gmail, contacts, chrome, app data, google fit data, keep, people's details etc to aap jis service ko Kam use karte hai use disable kar sakte hai, aesa karne ke liye niche bataye steps follow kare.

Sync off

1. Sabse pahele mobile ki settings me Jaye fir account me Jaye.

2. Google select kare.

3. Aapke mobile me 2 email I'd login hai to kisi ek ko select kare, ab jis service ko off karna hai karde.

I hope ki android mobile me internet data save kaise kare / bachaye ye article aapko accha laga hoga, krupiya whatsapp, facebook, twitter etc social media sites par is article ko jarur share kare taki aapke dwara dusro ki bhi help ho jaye agar koi problem aaye to hume comment ke jariye bataye otherwise aap humare fb page visit kar sakte hai.