Monday, January 29, 2018

Email Id kya hai, kyu jaruri or kaise use kare

ad300
Advertisement





World ki sari companys jydatar e-mail ke jariye hi apne employees se baat Karti hai agar kisiko jaruri kaam hoto uske liye bhi companys me e-mail ka upyog kiya jata hai, jydatar log apni email id google pehi banate hai kyu ki ye bahot hi popular search engine hai.

Aapko agar pata nahi hai ki e-mail kya hai, id kaise banaye, kyu iski jarurat hai or use kaise istemal karte hai to ye artcile pura padhe isse aapki bahot help hogi or aap sikh jayenge ki e-mail kaise karte hai, so guys aapne jan liya ki e-mail ka use jydatar company me hota hai agar aapki e-mail I'd hai to company job ke liye e-mail ke jariye hi jankari di jati hai.

E-mail I'd  kya hai :


Email id ek account hota hai jisse hum humari i'd se kisi or ki I'd pe message or documents bhej sakte hai iska use company's me jyda hota hai. Jaruri nahi hai ki aap apni E-mail id google pehi banaye aap yahoo, microsoft, rediff, hotmail etc pe bhi bana sakte hai. Vdipak45@gmail.com ye meri email id hai vdipak45 ye mera username hai or iska email id gmail.com par banaya gaya hai.

E-mail id ko use karna kyu jaruri hai :





Aaj ki duniya technology pe chal rahi hai or aese me kuch saal pahle sehi email ko jyda importance diya gaya hai ab company ke employees face to face milne ke bajaye apne kuch kaam email sehi kar lete hai.
Agar aap kisi company me online job ke liye apply karte hai to aapke select hone ki janakri aapke email id pehi bheji jati hai. aapko email id ki jarurat bahot saari jagah pad sakti hai kyu ki bahot sare field me log email id magte hai jaise banking, company, government work, education etc.




E-mail id kaise banaye ( how to create Gmail account/ email id ) :


1. Firstly aap google ki website www.gmail.com par jaye.


2.

Ek page open hoga usme " create account " pe click kare.

3.

Aapke samne ek from dikhai dega use fill karna hai.

( A ) Name first and last :



First name me apna surname dal de or last me apna.

( B ) choose your username :

Aapko yaha apne email ke liye ek badiya username choose karna jaise mera vdipak45 hai aap apni wish se koi bhi choose kar lijiye but wo username available hoga tabhi aapko milega otherwise use change kar de.

( C ) Create a password :

Isme aapko apni email id ke liye best password dalna hai password me @#$& ka jarur use kare.

( D ) Confirm your password :

Apne jo password dala tha use confirm kare.

( E ) Birthday :

Apni birthday ki date, month or year select kare.

( F ) Gender :

Aapko yaha for different option male, female, other or rather not say dikhenge aap apni hisaab se male ya female select kare.

( G ) Mobile phone :




Aapko jis numbre se email id register karni hai use inter kare apna permanent numbre daal de, yaad rahe agar aap india se hoto pahle +91 hona jaruri hai agar kisi or country se hai to apna country code select kar ke apna number dale.

( H ) Your current email address :

Aapka koi or email id hai to use enter kare agar nahi hai to apne family ya friends ka daal de.

( I ) location :

Location me apni country ko select kare.
Note : agar aap google se detail me information lena chahte hai to from ke niche learn more likha hoga uspe click kare or sabse niche hindi language select kar le taki lines samjne me problem naho.

Aap mobile se kar rahe hai to continue or desktop se kar rahe hai to next step ka option dikhega uspe click kare.

4. Aapke samne term and conditions ka page open hoga use padhe page niche pull kare " i agree " pe click kare.

5.

Aapka email id ab successfully ban chuka hai " continue to gmail " pe click kare.

So guys is tarah aap gmail pe e-mail id bana ke enjoy kar sakte hai.



Mobile me gmail app download kare :


1.

Aapne gmail pe e-mail id to bana li hai ab aapke mobile me Gmail app nahi hai to use play store se download kar le.

2. App ko install kar ke open kar le.

3. Apni email id or password enter kar ke login kare.

Kisiko bhi email kaise bheje ( how to send email ) :


1. Firstly gmail app open kariye, aap chahe to google pe gmail.com search kar ke bhi login kar sakte hai.

2.

Samne waley ki e-mail id hai to aap uspe email send kar sake hai send karne ke liye aapko home screen me niche right side me ek icon dikh raha hoga uspe click kare.

3.

Aapke samne ek from aayega use fill karna hai. to me aap jisko email bhejna chahte hai uski email id entre kare, cc or bcc ek se jyda email bhejne ke liye use kiye jate hai, subject me aap kish reason se mail bhej rahe hai wo likhna hai or compose email pe aapko apna message bhejna hai.
Jaise kisika birthday hai to aapko subject me birthday likhna hai or compose email me birthday related pyara sa message likhna hai.

Note : cc or bcc email kya hai uske baarein me maine detail me artcile likha hai use padhne ke liye yaha click kare.

4.

Aap email me audio, video, photos i mean aap jaruri documents or files ko bhejne ke liye right side me ek icon hoga uspe click kar sakte acche se samjne ke liye picture me dekhe.
Note : Aapke dwara add ki hue files or ducometns 5 M.B se jyda size ke naho uska dhyan rakhe.

5. Aapne pura email ready kar diya hai to ab usko bhjene ke liye right side me upper send karne ka arrow jaisa ek icon hoga uspe click kare.

So friends aap is tarah kisi ko easily kisiko bhi email bhej sakte hai.

E-mail ka reply or forward kaise kare :


1. Gmail app open kare ya fir gmail.com pe login kare.

2.
Mail ka reply or forward kare

Aap jis mail ka reply ya forward karna chahte hai uspe click kare ab aapko us mail ki details download karne ke liye download remaining ka option dikhega uspe click kare or pura mail padhe  ab aapko sabse niche reply or forward ka option dikh raha hoga agar aap us mail ka reply karna chahte hai to reply pe click kare or forward karna chahte hai to forward pe click kare.

Email ko delete kaise kare :


Mobile se kuch delete karte hai waise hi karna hai jis email ko delete karna hai uspe hold kare ab right side me upper delete ka icon dikhega uspe click kare ab mail delete to ho jayega lekin menu ke trash folder me chala jayega waha se koi bhi email 30 days me automatically deleted ho jata hai ye bas security ke liye hai agar aapse galti se koi mail deleted ho jata hai to wo trash me jayega so aap usko waha se bhi dekh payenge.

Menu me social or promotions ka option dikhega social label me Twitter, google plus etc ke msg aayenge or promotions me company or friends ke mail dekh payenge.

Last words :


I hope ki aapko ye artcile pasand aaya hoga, aapne ye sikha ki email kya hai, kyu jaruri hai or kaise use kare. is artcile ke baarein me comment me jarur bataye agar koi problem aaye to aap puch sakte hai,
everyday mere new articles ki jankari lene ke mere fb page ko like kare 
Share This
Previous Post
Next Post

About Author :- My name is himanshu pathak From hamirpur uttar pradesh india. Iam a passinate and full Time blogger. If you like his articles then share with your friend and Social media sites facebook twitter more Etc and Keep Visting on Blog net Book.

0 comments:

Thank you for comment