Aap email service ka jyda use karte hai to aapko cc or bcc email kya hai or kaise bhejna hai uski jankari honi chahiye, waise emails company me jyda use kiye jate hai but aapko email ke har option ke baarein me padhna chahiye isse aapka knowledge badega kisi ke puchne pe aapko aesa nahi kahena padega ki ye cheez mujhe nahi aati ya mujhe nahi pata.
E-mail kya hai :
Email ek aesi service hai jiske jariye hum message ke sath sath photo, audio, pdf mera matlab aap kisi bhi file ya documents ko bhej sakte hai.
maine aapko pahle hi bataya ki is service ka use jydatar companys jyda karti hai maine email id kya hai, importance or kaise use kare uske baarein me pahle hi artcile publish kar chuka hua use padhne ke liye yaha click kare.
Normally jab koi mail bhejta hai to TO me samne waley ka email address dalke, subject or compose email ka hi use karke email send karta hai or yahi tarika sabse easy hai par yaha pe aapko cc or bcc mail Kya hota hai uske baarein me jaan lena chahiye taki kabhi kaam aa sake.
CC or BCC email ka different kya hai ( what are cc and bcc email and how to use ) :
Friends aap cc or bcc mail ke ko use kar sakte hai iske bahot sare fayde hai or in features ka use kuch log kar rahe hai agar aapko inke baarein me nahi pata to jarur padhe.
CC ( carbon copy ) email kya hai :
CC mail ka pura name carbon copy hai iske pure name sehi aap idea laga sakte hai ki ye kya ho sakta hai, cc ka use ek se jyda logo ko email bhejne ke liye kiya jata hai.
Jaise maan lijiye company me kisi customer ki complain aayi hai or usko thik karne ka kaam boss ne aapko diya hai ab boss ko bhi to ye pata chalna chahiye ki aapne complain ka solution kis tarah kiya hai so bas aapko cc ke option me apne boss ka email address daal dena hai or TO me us customer ka email address ab jab aap email send karenge to wo email customer ko bhi jayega or same carbon copy aapke boss kobhi jayegi jisse boss jaan sakenge ki aapne kya solution diya hai.
BCC ( blind carbon copy ) email kya hai :
BCC ka pura name blind carbon copy hai, iska use bhi same cc ki tarah hi hota hai bas isme thoda sa fark hai.CC me aap jab e-mail bhejte hai to us customer kobhi pata chalta hai ki aapne boss ka email cc me add kiya hai agar aap chahte hai ki customer aapke boss ka email address na dekh paye to bcc ke option me apne boss ka email daal de isse jab aap customer ko email send karenge tab boss ko or customer ko wo email jayega but customer ko aapke boss ka email address nahi dikhega.
CC email ( carbon copy ) :
Aap ek hi email ko ek se jyda logo ko bhejna chahte hai to CC ke option me sabke email address daal ke kar sakte hai yaad rahe ek email enter karne ke baad , jarur lagaye fir 2nd email entre kare iska use aap festival ke time me jyda kar sakte hai, yaad rahe aapne kis kisko email bheja hai uski jankari sabko pata chal jayegi or ek dusre ko sabka email address bhi pata chalega.BCC email ( blind carbon copy ) :
Aap festival ke time pe apne dosto ko email to bhejna chahte hai par aapki wish hai ki ek dusre ke email address koi dekh na paye to aap sabke email address bcc ke option me daal sakte hai.
BCC or CC me aap jitne chahe utne email address add kar sakte hai.