Monday, January 29, 2018

Internet Speed Kaise Check Kare





Internet speed check kaise kare aaj me aapko iske baarein me information dene wala hu - how to check internet speed in hindi ye question internet par bahot baar search kiya jata hai isse ye pata chalta hu ki bahot saarein logo ko ye jankari nahi hai ki kaise apne mobile ki internet speed ko check / test karte hai.

Internet speed kaise check kare

4g ki maximum speed 50mbps tak milti hai yaani aap sirf 1 second me 50 MB ki file download kar sakte hai or 1000 MB ki file sirf 18 second me download, waise itni speed milti to nahi hai par kuch jagah mil jati hai, jaha users kam ho or network kaafi strong or agar aapko per second 10mbps bhi speed milti hai to ek hd movie sirf 3-5 minute me download kar sakte ho.


Mobile Internet Speed Kaise Check Kare - à¤®ोबाइल इंटरनेट स्पीड कैसे चेक करें ( How To Check Internet Speed In Hindi )


Mobile phone ki internet speed check karna bahot aasaan hai. play store par bahot saarein aese apps hai jo internet Speed check karne ki facility dete hai, abhi me aapko unme se kuch popular apps ke baarein me batanga.



Aap chaho to dusre apps bhi try kar sakte ho but wo acche se work karenge ya nahi wo pata nahi but niche bataye 3 apps ekdum sahi tarike se work karte hai unka performance badhiya hai already me unhe try kar chuka hu uske baad hi aapko bata raha hun.

Maine kuch din pahele mobile me internet data kaise bachaye / save kare ye article bhi likha hai aap chahe to ise read kar sakte hai.

( 1 ) Speed Test

1. Aapko play store par speedtest by ookla name ka app milega use download karle.

2. App installed ho jane ke baad use open kare, app open hone ke baad thodi der wait kare jab tak wo load hota hai fir aapko " Begin Test " button dikhega uspe click kare.

Internet speed kaise check karte hai

Ab process start ho jayegi 1 minute me aapke samne download or upload speed ka result hoga.

Aap chaho to setting me jake kuch changes kar sakte ho or konsi company hosted hai wo information bhi pata chal jayegi.

( 2 ) Internet Speed Check 2018

1. Firstly play store se Internet speed check 2018 app download karle, ye 2018 ka new app hai or kafi acche se kaam karta hai.

2. App installed ho jane ke baad use open kare, aapko kuch lines dikhai degi unhe padhe or " Begin Test Now " par press kare.

Internet speed test kaise kare

Aapke samne BING, download or upload test start hoga thodi der wait kare fir result samne hoga.

( 3 )  Internet Speed

Isme aapko daily data kitna use hua, internet speed test or graph bhi dekhne ko milega or ek acchi baat ye app notification baar me aapko live speed show karega.

1. Is app ko bhi kafi log use kar rahe hai or iska performance bhi badhiya hai so ise pahele play store se download karle.

2. Application Installed hote hi use open kare.




Speed test option me jaiye or " begin test " par click kare.

Good, thodi hi der me result aapke samne hoga.

I hope ki internet speed kaise check kare - how to check Internet speed in hindi article aapko jarur pasand aaya hoga to aap is tarah easily in popular apps ka use karke mobile ki Internet speed check kar sakte ho, agar aapko koi problem aaye to comment jarur kare.

Thursday, January 25, 2018

Captcha Code Kya hota hai, Kyu Jaruri or Kaise Solve kare 2018


Captcha code kya hota hai, iska istemal kyu hota hai, types, benefits or kaise verify karte hai iski full information aapko is article me mil jayegi. what is a Captcha code ? Aap internet ka use karte hai or kabhi bhi kisi website par aapne account create ya fir form ko fill karke submit kiya hai to aapko iske baarein me jarur pata hoga.



Captcha code kya hota hai, kyu jaruri or Kaise solve kare

Ye article me isliye likh raha hu kyu ki jab me internet ka use karna start kiya tha tab mujhe Captcha ke baarein me koi Jankari nahi thi or uski wajah se mera bahot loss hua tha, so aapko loss na ho isliye ye Captcha Kya hai wo jarur janiye.


Captcha Code Kya hai, Kyu jaruri or Kaise Solve Kare ( What is a Captcha Code in hindi )


Captcha code kya hota hai. Captcha ka full form / Pura name - Completely automated public Turing test to tell computers and humans apart hai. Captcha ko san 2000 me Luis vonahm, Nicholas hopper, John langford or Manuel Blum ke dwara lagaya gaya tha jo Mellon university ke professor the.


Captcha code ka istemal kyu hota hai - Why captcha code is used


Aaj ke modern jamane me jydatar kaam online kiye ja rahe hai matlab Jo companies pahele offline line service dena pasand Karti thi wo sab ab online services bhi provide kar rahi hai taki users ke liye aasaani ho. Aapko pata hi hoga ki Banking, telecom etc har filed ki suvidha internet par uplbadh hai. Iske sath sath online hacking ke chances bhi jyda hai, kuch log aese hote hai Jo kisi website ya kisi insaan ke account ko hack karke fayda utha lete hai unko hacker bolte hai wo humi logo mese hote hai.

Ab aap soch sakte hai ki hackers or spammers ke liye security ki jarurat to hogi hi agar security ka use na kiya to ek din me lakho website or accounts hack hone ke chances hai.

Captcha code security measure ke tor par kaam karta hai jinka goal / target websites se hackers or spammers ko bachana hota hai. Hackers machine ki madad se website hack karne ki koshish karte hai, machine kabhi bhi Captcha code ko solve nahi kar payega kyu ki ye sochne wala kaam hota hai joki insaan hi soch sakta hai. Jaise hi aap Captcha ko hum successfully verify kar lete hai kyu ki hum insaan hai soch sakte hai or machine isko verify nahi kar payega kyu ki wo command pe kaam karta hai, yu kahe to Captcha ka use
humun or machine ko pahechanne ke liye kiya Jata hai. abhi tak duniya me koi Captcha code solving algorithm nahi bana hai.

Aap khud hi soch sakte hai agar koi blog / website owner Captcha code security ka use nahi karta to uske blog par jyda spam mails or comments aane ke chances hai, isse owner pareshan ho jayega.


Captcha code kitne Prakaar ke hote hai  - Different types of Captcha


Different types ki websites ke liye alag-alag 5 tarah ke captcha code use kiya jata hai, aaiye inke baarein me puri jankari lete hai.

1. Text Recognition based

Aese Captcha me Jo puzzle aata hai wo text based hota hai. Aapko text pahechanne hai jaise maan lijiye URIBO78YI aesa likha hai to aapko niche ek box hoga jisme ye characters sahi sahi enter karne hai.

Isme aapko koi calculation bhi pucha ja sakta hai jaise 15+23 to aapko uska answer dena hai.

2. Image Recognition Based

Is tarah ke captcha me Jo puzzle aata hai wo images based hota hai yani aapko koi question pucha jeyag uske according images ko select karna hai agar aap sahi images ko select karenge to fir website pe enter kar payenge.

Isme ek or option bhi aata hai aapko Kuch number bole jayenge unhe sun ke sahi enter karne hai fir verify karpe pe aap website par visit kar payenge.

3. Social Authentication / Friend Recognition

Is type ke captcha me puzzle friends profiles picture based hota hai. Jydatar social accounts ko unlock karte waqt aese Captcha ko verify karne ki jarurat pad sakti hai, isme code ke tor par aapko friends ke profile picture select karke verify karne hai.

4. interaction question based


Is tarah ke captcha puzzle me aapko interaction related question pucha jayega jiska sahi answer dene pe aap website par ja payenge.

5. Logic question based

Isme tarah ke captcha puzzle question based hota hai jisme aapko koi sawal pucha jayega uske answers select karke verify karne par aap website par login kar paoge.

Upper bataye Captcha mese sabse jyda use images Captcha ka kiya Jata hai or second number par text wala so me aapko images recognition based Captcha ko kaise verify karte hai uske baarein me batane ja raha hu kyu ki maine dekha hai bahot sare logo ko isme problem hoti hai fir half knowledge hone ki wajah se wo kaam ko adhura chhod dete hai.


Captcha Code ko Kaise Solve Kare - How to verify Captcha code in hindi


Yaad rahe niche me sirf images Captcha ko kaise verify karte hai uske baarein me bata raha hu, waise images select karne me bahot problem hoti hai new users ko so below methods ko dhyan se padhe.

Method 1

1.
Click on Captcha box

Sabse pahele aapko I'm not a robot likha hoga uske left side me chhota sa box hoga usme click kare thodi der wait kare page loading hone me time lega, depend on your data speed.

2.
Captcha code image select

Solved Captcha in this picture

Ab aapke samne ek puzzle hoga aapko ek game khelni hai maan lijiye upper likha hai select images with sunclasses matlab aapko puzzle me small 12 images najar aayenge unme se Kuch images sunclasses waley honge unhe select karke verify pe click kare ab √ ka nishan bana hua aayega matlab aapne successfully Captcha code solve ya verify kar liya hai.

Note : Agar aapko koi puzzle difficult lag raha hai to niche refresh karne jaisa symbol hoga uspe click kare dusra puzzle samne aa jayega agar wo bhi mushkil lag raha hai to firse us button pe click kare.

Method 2

Agar aap images ko select karna nahi chahte hai to me aapko dusri easy trick bata raha hu 100℅ ye aapko bahot acchi lagegi.

1. I'm not a robot likha hoga uske pass box me click karne ke baad images open hogi.

2. Sabhi images ke niche 3 symbol honge unme se second number ka symbol headphone ke icon jaisa dikhega uspe click kare.


Captcha code successfully solve in this pic

Ab aapke samne ek box open hoga jisme " press play and enter the numbers you hear " matlab aapko play pe click karna hai uske baad aapko Kuch numbers sunai denge unhe dhyan se sune fir enter karke verify par click kar de, aap chahe to numbers ko sunne ke sath hi enter kar sakte hai. Ye ek aasaan tarika hai Captcha code solve karne ka.


Captcha code ke Kya fayde hai - What are the advantages of captcha code


=> Online poll create karna

=> Blog me spam comments ko rokna.

=> Website / blog ko direct attack se safe rakhna

=> E-mail address ko email scrapers se se bachana.

Internet ki duniya me website / blog ke data ko safe rakhna sabse jyda important hota hai.

Post summary

I hope ki Captcha code Kya hota hai, kyu jaruri or kaise verify kare - how to verify Captcha code in hindi ye article jaan ke aapko accha laga hoga.
Krupiya comment karke jarur bataye taki me bhi aapse kuch Sikh saku or Kuch sudhar saku. Site ke new articles ki jankari Lene ke liye fb page  < < ko like kren or new new tricks paye..









Share This Post On Soical Media:-