![]() |
Advertisement |
Internet speed check kaise kare aaj me aapko iske baarein me information dene wala hu - how to check internet speed in hindi ye question internet par bahot baar search kiya jata hai isse ye pata chalta hu ki bahot saarein logo ko ye jankari nahi hai ki kaise apne mobile ki internet speed ko check / test karte hai.
4g ki maximum speed 50mbps tak milti hai yaani aap sirf 1 second me 50 MB ki file download kar sakte hai or 1000 MB ki file sirf 18 second me download, waise itni speed milti to nahi hai par kuch jagah mil jati hai, jaha users kam ho or network kaafi strong or agar aapko per second 10mbps bhi speed milti hai to ek hd movie sirf 3-5 minute me download kar sakte ho.
Mobile Internet Speed Kaise Check Kare - मोबाइल इंटरनेट स्पीड कैसे चेक करें ( How To Check Internet Speed In Hindi )
Mobile phone ki internet speed check karna bahot aasaan hai. play store par bahot saarein aese apps hai jo internet Speed check karne ki facility dete hai, abhi me aapko unme se kuch popular apps ke baarein me batanga.
Aap chaho to dusre apps bhi try kar sakte ho but wo acche se work karenge ya nahi wo pata nahi but niche bataye 3 apps ekdum sahi tarike se work karte hai unka performance badhiya hai already me unhe try kar chuka hu uske baad hi aapko bata raha hun.
Maine kuch din pahele mobile me internet data kaise bachaye / save kare ye article bhi likha hai aap chahe to ise read kar sakte hai.
( 1 ) Speed Test
1. Aapko play store par speedtest by ookla name ka app milega use download karle.
2. App installed ho jane ke baad use open kare, app open hone ke baad thodi der wait kare jab tak wo load hota hai fir aapko " Begin Test " button dikhega uspe click kare.
Ab process start ho jayegi 1 minute me aapke samne download or upload speed ka result hoga.
Aap chaho to setting me jake kuch changes kar sakte ho or konsi company hosted hai wo information bhi pata chal jayegi.
( 2 ) Internet Speed Check 2018
1. Firstly play store se Internet speed check 2018 app download karle, ye 2018 ka new app hai or kafi acche se kaam karta hai.
2. App installed ho jane ke baad use open kare, aapko kuch lines dikhai degi unhe padhe or " Begin Test Now " par press kare.
Aapke samne BING, download or upload test start hoga thodi der wait kare fir result samne hoga.
( 3 ) Internet Speed
Isme aapko daily data kitna use hua, internet speed test or graph bhi dekhne ko milega or ek acchi baat ye app notification baar me aapko live speed show karega.
1. Is app ko bhi kafi log use kar rahe hai or iska performance bhi badhiya hai so ise pahele play store se download karle.
2. Application Installed hote hi use open kare.
Speed test option me jaiye or " begin test " par click kare.
Good, thodi hi der me result aapke samne hoga.
I hope ki internet speed kaise check kare - how to check Internet speed in hindi article aapko jarur pasand aaya hoga to aap is tarah easily in popular apps ka use karke mobile ki Internet speed check kar sakte ho, agar aapko koi problem aaye to comment jarur kare.
0 comments:
Thank you for comment