Monday, January 29, 2018

Amazon affiliate program se online paise kaise kamaye

ad300
Advertisement







Kya aap online ghar bethe paisa kamana chahte hai i think aap jarur money earn karna chahenge kyu ki paiso ki to sabko jarurat hoti hai, affiliate program se aap online ghar bethe paise earn kar sakte hai jitni mahenat karte hai utne paise milte hai.

Aap college student ya kahi job karte hai or part time kaam kar ke paise earn karna chahte hai to aap online affiliate program se paise earn kar sakte hai so guys jyda time na lete hue me aapko affiliate program Kya hai or isse hum kaise paise kama sakte hai uske baarein me bata raha raha.

Affiliate program Kya hai ?


Affiliate program ka use kuch company's ne kuch saal pahle se hi start kiya hai, jaise Amazon, Flipkart, Godaddy etc, aapko me abhi amazon affiliate program ke baarein me bataunga.


Aap kisi company ki product ko online promote karte hai or samne wala insaan aapke dwara promote ki gayi product ki link pe click karke product ko kharidta hai to aapko uska kuch commission milta hai.

Aapko kabhi mobile ya koi cheez leni hoto affiliate program aapke kaam aa sakta hai kyu ki aapko product ka 4℅ se 15℅ commission milne ke chances rahte hai har company apne product ka alag alag commission fix karti hai.

Aap soch rahe honge ki company ko kaise pata chalega ki aapke dwara promote ki gayi product ko kisne buy kiya hai so guys jab aap affiliate program join karte hai tab aapko id ya username diya jata hai ab aap jo bhi product promote karoge uski link me aapki id ya username bhi hoga so id ya username ki madad se xyz company ko pata chalta hai ki aapke dwara promote ki gayi product ko kisine buy kiya hai or uska commission aapke affiliate account me deposit kar diya jata hai.





Note : Kuch had tak paise earn karte hai uske baad hi aapke bank account me transfer kiye jate hai jaise ki amazon affiliate me 1000rs earn karne ke baad wo paise bank me deposit ho sakte hai.

Earn kiye hue Paise humare pass kaise aate hai ?

Aap jab kisi bhi company ka affiliate program join karte ho uske baad aapke xyz affiliate program ke account me aapko payment ka option raheta hai usme aapko aapka bank account number, pan card numbre, ifsc code etc information fill karni rahti hai uske baad aapke earn kiye hue paise aapke bank account me online transfer kar diye jate hai so friends ab aap samaj hi gaye honge ki affiliate program kya hai.

Amazon affiliate program ko kaise join kare :

1. Affiliate-program.amazon.in pe jaye agar aap chrome ya Firefox browser ka use karoge to better rahega.

2.

Amazon affiliate ke home page me right side me " join now for free " ka option hoga uspe click kare.

3.

Email or mobile me apna email id dale, niche i am a new customer select kare fir " sign in using our sucure server " pe click kare.



4. Page me aapko kuch details fill karni hai.


My name is : isme aapko apna name likhna hai.

My e-mail address is : yaha aapka e-mail address likha hoga.

Type it again : isme dubara apna e-mail I'd dale jo pahele daala tha.

Enter a new password : aapko apni man pasand ka password dalna hai.

Type it again : yaha aap password dubara daale.

Ab create account pe click kare agar koi problem hogi to aapko alert najar aayega aapne sahi kiya hai to aap next page pe pahoch jayenge.

5. Ek bada page open hoga jisme aapko apni details bharni hai.


Payee name : aapke bank account me aapka name jis tarah se likha hua hai wo dale agar aapne thoda sa bhi galat daal diya to payment ke waqt problem ho sakti hai.

Address line 1 : Apna yaha sirf apne gaav ka name or tehsil ka name likhe.

Address line 2 : yaha apni district ka name likhe.

Address line 3 : apni gali ka name likhe.

City : apni district ka name daale.

State, province or region : apne state ka name enter kare.

Postal code : apni village ka zip/pin code enter kare.



Country : country already selected hogi so yaha aapko kuch nahi karna hai.

Phone numbre : apna permanent numbre enter kare.

Who is the main contact from account ? : Isme first wala option pahle se hi selected hoga so aap yaha bhi Kuch mat kare.

For u.s, tax purposes, are you a u.s person ? : Yes or no option hoga jisme se aapko " NO " select karna hai, aapki web pe us se jyda traffic aata hai to us ko select kar sakte hai.

Ab next pe press kare.

6. Aapki website ya mobile app ki detail yaha fill karni hai.


Enter your website : yaha aapko agar aapki website/blog nahi hai to www.thinkvasava.com enter kar sakte hai aap chahe to kisi or site ka name/url bhi daal sakte hai isse aapko koi problem nahi hogi, site ka name daal ke add button ko dabaye ab niche ek box hoga usme site ka name add ho jayega yaha aap jitni website/blog ka name add karna chaho kar sakte hai, aap chahe to mobile app ka box bhi fill kar sakte hai.
Note : aap apni website/blog ka name dalte hai to better rahega so apni web/blog free me banane ke liye niche di gayi link pe click kare.



Free me blog/website kaise banaye 

Email marketing kya hai or kaise use kare

Ab next pe click kare.

7. firse ek page open hoga jisme aapko kuch details fill karni hai.


What is your preferred associates store id? : yaha aapko apni choose ki ek id generate/banani hai fir enter kar dijiye.

Your website list : aapne jo website/blog ka name diya tha wo yaha hoga.

What are your websites or mobile apps about ? : Aapne jo website/blog ka name Dala tha wo Kya kaam Karti hai uske baarein me kuch likh dena hai.

Which of the following topics best describes your websites or mobile apps ? : Select primary and second topics ka option hoga aapko website kish cheez pe kaam Karti hai uske related topics ko choose karke select kare.

What type of amazon items do you intend to list on your websites or mobile apps ? : Books or clothing pe high commission milta hai so dono mese kisi ek ko select kare.

What type are your websites or mobile apps ? : Website kis type ki hai so select karna hai yaha primary or secondary option hoga dono me apni choose ka option select kare.

How do you drive traffic to your websites ? : Aapke samne bahot option honge par yaha aap blog ya seo ko select kar sakte hai.

How do you utilize your website and apps to generate income : aapke samne 2 option honge unme apne pasand ka option choose kar le.

How do you usually build links ? : Isme aapko blog editor ko select karna hai.

How many total unique visitors does your website get per month ? : yaha less than 500 select kare.

What is your primary reason for joining the Amazon associate program ? : isme other select kare.

How did you hear about us ? : Blog post ko choose kare.
Note : agar aap chahe to upper diye gaye questions me apni pasand ka jawab select kar sakte hai.

Term and conditions ko agree kare, character verification kare or last me sabse niche filish button pe click kare.

Congratulations guys ab aapne amazon affiliate program ko successfully join kar liya hai ab apni man pasand product ki link copy kar ke social media or website pe share kar sakte hai or apne dosto ko kahe sakte hai ki amazon se koi product buy karni hoto mujhe jarur batana, affiliate home page me payment information kar ke link najar aayegi uspe click karke apne bank account ki details fill kar de taki commission direct aapke bank account me transfer hota rahe.

Kis product pe kitna commission milta hai :

Kindle eBooks - 10℅
Consumer Electronics (excl. Data Storage Devices) - 4℅
Mobile Phones - 4℅
Televisions - 4℅
Gift Cards - 2℅
Clothing - 12℅
Shoes - 12℅
Beauty and Health - 10℅
Books - 10℅
Music, Movies, Video games and Software - 6℅
Cars, Motorbikes and Industrial Products - 10℅
Toys and Baby Products - 10℅
Watches - 10℅ 
Jewellery (excluding Gold and Silver coins) - 10℅
Gold and Silver coins - 0.3℅
Home and Kitchen - 10 ℅
Kitchen Appliances - 9℅
Kindle Devices - 10℅
Luggage and Bags - 10℅
Sports, Fitness and Outdoors - 10℅
Office and Stationery - 10℅
Musical Instruments - 10℅
Gourmet and Specialty Foods - 10℅
Data Storage Devices - 2℅
Major Appliances - 6℅
Symphony, Kenstar, Bajaj, Crompton air coolers - 6℅
Others - 10℅

Last words :


Amazon affiliate program kya hai or isko kaise join karna hai ye aapne is article me jana, aasha karta hu ki aapko ye article pasand aaya hoga is article ke baarein me mujhe comment kar ke jarur bataye, is website ke new articles ki jankari ke liye mere fb page ko like kare or  subscribe kare
Share This
Previous Post
Next Post

About Author :- My name is himanshu pathak From hamirpur uttar pradesh india. Iam a passinate and full Time blogger. If you like his articles then share with your friend and Social media sites facebook twitter more Etc and Keep Visting on Blog net Book.

0 comments:

Thank you for comment