Monday, January 29, 2018

Free me blog/website kaise banaye online paise kamane ke liye







Internet se hum bahot sari information le sakte hai, hume koi bhi problem hoto google pe search kar lete hai or uske bahot sare solutions humare samne aate hai wo sab blogs me likhe gaye articles hote hai jinko google results ke tor pe humare samne rakh deta hai. aapko ye to jarur pata hoga ki internet se hum paise kama sakte hai par Kaise wo sayad hi pata hoga so friends aaj me aapko free me blog/website bana ke online paise kaise kama sakte hai uske baarein me bataunga.


Internet se bahot sare log month me lakho rupees kama lete hai wo bhi ghar bethe so aap bhi blog/website bana ke online paise kama sakte hai wo bhi easily. Blog/web banane ke liye internet pe bahot sare
platfrom hai jinme se wordpress or blogger bahot hi popular hai. wordpress paid service hai so hum blogger se free me blog Kaise banaye uske baarein me jante hai.

Blog Kya hai?

Blog ek aesa platfrom hai jaha par aap apne man pasand ke topics ( education, motivation, online services etc ) ke baarein me article likh ke publish kar sakte hai.



Aap chahe to blog pe apne personal experience, interested topics ke baarein me articles likh ke publish kar sakte hai. aap jo article likhenge use Puri duniya ke log dekh sakenge, chahe article aapne kisi bhi language me Kyu na likha ho.

Fayde ( benefits ) :

1. Ghar bethe blog/website pe work kar ke online paise kama sakte hai.

2. Internet se khud ki pahechan bana sakte hai or popular ban sakte hai.

3. Puri duniya ke logo ko online topics pe artcile likh ke help kar sakte hai or bhi bahot sare benifits ho sakte hai.

Nuksan ( loss ) :

1. Blog/web banane se koi nuksan nahi friends bas fayda hi fayda hai, aap dil se work karo bas.

Blog banane ke liye kis cheez ki jarurat padegi :

1. Blog banane ke liye aapke pass google account hona chahiye so agar nahi hai to bana le.



Free me blog bana ke paise Kaise kamaye :

1. Google pe www.blogger.com search kare.
Note : mobile se kar rahe hai to chrome browser ko use karna better rahega.


2. Aapke samne " create your blog " ka button hoga uspe click kare.


3. E-mail dalke next button dabaye password dale or sign in pe click kare.
Note : agar aapne google account nahi banaya hai to " create account " pe click karke bana lijiye.


4. New blog button ko dabaye.

5. yaha aapko apne blog ka title, address or template select karna hai.


(a) Title me apne blog ka name dale jo aapko pasand ho.

(b) address me apne blog ka url dale, yaha aap apni man pasand ka koi bhi word daal sakte hai but wo available hona chahiye this blog address is available likha aayega to samaj lijiye ki aapne Jo words dale hai unse blog bana sakte hai , address available nahi hai to dusra name dale.

(c) Apne blog ke liye template choose kare.

(d) create blog pe click kare.

6.

Boooom.!! Congratulations ab aapka blog/website free me ban chuka hai.

Last words :

Ab aapka blog to ban chuka hai but aapke blog ke url me blogspot.com extra word add ho jayega so apne blog ko website me badlne ke liye godaddy.com se apni choose ka accha domain paise deke le le jaise 


Ho sakta hai aapko template or domain word samaj me na aaya ho or blog ko Kaise use karna hai ye so friends don't worry bas aap blog bana lijiye aapke liye me dusre articles dalta rahunga jisme aapke questions ke answer honge.

I  hope ki aapko ye article pasand aaya hoga, me website pe koi article publish Karu or uski information aapko turant e-mail ke jariye mil jaye uske liye is site ko subscribe kare aap chahe to mera fb page bhi like kar sakte hai. ye article aapko kaisa laga uske baarein me jarur bataye taki me or bhi aese helpful articles aapke liye publish karta rahu, blog banane me koi problem aaye to aap mujhe comment kar ke puch sakte hai Mujhe aapki madad Karne me bahot khushi hogi.

Share this post on social media.

YouTube Video Mobile ki Gallery me kaise Download kare





Aap youtube pe videos dekhte hi honge or Kahi baar sochte honge ki yaha se video kaise download kare. Guys aaj me aapko aesi trick bataunga jisse aap easily free me youtube video download kar sakte hai.

Youtube pe videos upload kar ke kuch log monthly 1 lakh plus earn karte hai, maine iske baarein me already youtube se paise kaise kamaye article me detail me bataya hai.

YouTube videos ka sabse bada platform hai jaha aapko comedy, movie, trailer or bhi bahot sare type ke videos mil jayenge. Kahi baar aapko Kuch videos pasand aa jate hai jinhe aap dubara dekhna ya apne friends ko dikhana chahte hai aaiye aaj un videos ko download kaise Karte hai wo sikhte hai bina kisi software ke.



YouTube se video kaise download kare - यूट्यूब से वीडियो कैसे डाउनलोड करे :


Download YouTube videos free in the Gallery of mobile

Niche me aapko Kuch step bata raha hu unhe thik se follow kare fir aap easily youtube se video download kar payenge.

Mobile se free me youtube video kaise download kare :

1. Firstly play store se youtube application/software ko download kare.

2. App ko install or open kare.

3. Aapko jo video download karna hai use search kare.

4. Video ko play kare niche aapko share karne ka ek icon dikhega uspe click kare.

5. Aapko copy link ka option dikhega uspe click karke link i mean video ka URL copy kar le agar aapko ye option nahi aa raha hai to link ko notepad me share kar de fir waha se copy kar le. Aapke mobile me notepad nahi hai to play store se download kar le.

6. Ap apne mobile me chrome browser open kare or video ki link ( link Kuch is tarah ki hogi https://youtu.be/VFXcZWi-WKM ) ko paste kar ke search kare.

7.

YouTube videos link change than search

Ab aapko ek link dikehgi Kuch ish tarah https://m.youtube.com/watch?v=VFXcZWi-WKM&feature=youtu.be jise is tarah https://ssyoutube.com/watch?v=VFXcZWi-WKM&feature=youtu.be change karna hai. Maine m. ko remove kar ke SS entre kiya hai. Ab aapko search karna hai. Aapne desktop site enable kar ke link search ki thi to aapko link me m. Nahi dikhega upper link me maine youtube se pahle SS lagaya hai bas aapko bhi SS laga dena hai or search karna hai






Youtube pe apna video kaise upload kare 
Youtube videos ko monetize or Adsense se kaise connect kare 
YouTube se money earn kare step by step process

8. Aapke samne savefrom.net website open hogi samaj jaiye ab aapka kaam ho gaya, waha aapko video download Karne ka option dikhega jaha se aap MP4 720p, MP4 360p, WebM 360p, 3G 240p, 3GP 144p etcquality/formate ka video download kar sakte hai.

Computer/laptop se free me youtube video kaise download kare :

1. Firstly Google me youtube.com search kare.

2. Aapko Jo video download karna hai use play kare, aapko video ki link upper search baar me dikhegi uspe click kare. Link Kuch is tarah dikhegi.

https://www.youtube.com/watch?v=fpES_mZx17s

Aapko bas is URL me thoda change karna hai jaise Kuch is tarah

https://www.ssyoutube.com/watch?v=fpES_mZx17s

Ab aapko is link ko search karna hai aapke samne savefrom.net website open hogi aapko video bhi yaha najar aayega jise aap download karna chahte hai ab aapko video quality/formate select kar ke video download kar Lena hai.

Method 2 


Aapko upper batayi methods samaj me nahi aayi to don't worry yaha me aapko kuch easy trick bata raha hu, jise follow kare.

1. Sabse pahele youtube par jakar us video ka url / link copy karle jise aapko download karna hai.

2. Apne mobile ya pc me savefrom.net website search karke open kare.

3.
YouTube video kaise download kare

Aapke samne ek page open hoga, waha aapko ek box me enter the url likha hua dikhega waha video ki link paste kare or samne arrow ka icon uspe press karde.

4. Turant aapke samne wo video aa jayega jise aap save karna chahte hai, ab use download karle.

Congratulations guys aapne mobile or computer/laptop se youtube video free me kaise download Karte hai ye Jana ab hum iske benefits ki baat Karte hai.


Aapko internet pe bahot sare aese software mil jayenge jo YouTube video download Karne ki service dete hai par wo unme ads bhi bahot aate hai iski wajah se user pareshan ho sakta hai.

Ye site nice or easy hai bina kisi dikkat ke sirf el minute me aap yaha se apni man pasand ka youtube video apne android mobile ki gallery me save kar sakte hai. youtube video download Karne ki or bhi trick hai par ye sabse best or easy trick hai isi liye hume ye trick batayi.


                                                                                                       

YouTube Channel Pe Video Upload Kar Ke Paise Kaise Kamaye

 ye information aapko nahi pata hai to upper batayi color lines par click kare dusre articles open honge unhe padhe or apna knowledge increase kare.


I hope ki aapko youtube se free me video kaise download kare ye jankari jaan ke accha laga hoga. Agar koi problem aaye to comment kar sakte hai, everyday site ke new articles ki jankari lene ke liye fb page ko like kare

Internet Speed Kaise Check Kare





Internet speed check kaise kare aaj me aapko iske baarein me information dene wala hu - how to check internet speed in hindi ye question internet par bahot baar search kiya jata hai isse ye pata chalta hu ki bahot saarein logo ko ye jankari nahi hai ki kaise apne mobile ki internet speed ko check / test karte hai.

Internet speed kaise check kare

4g ki maximum speed 50mbps tak milti hai yaani aap sirf 1 second me 50 MB ki file download kar sakte hai or 1000 MB ki file sirf 18 second me download, waise itni speed milti to nahi hai par kuch jagah mil jati hai, jaha users kam ho or network kaafi strong or agar aapko per second 10mbps bhi speed milti hai to ek hd movie sirf 3-5 minute me download kar sakte ho.


Mobile Internet Speed Kaise Check Kare - à¤®ोबाइल इंटरनेट स्पीड कैसे चेक करें ( How To Check Internet Speed In Hindi )


Mobile phone ki internet speed check karna bahot aasaan hai. play store par bahot saarein aese apps hai jo internet Speed check karne ki facility dete hai, abhi me aapko unme se kuch popular apps ke baarein me batanga.



Aap chaho to dusre apps bhi try kar sakte ho but wo acche se work karenge ya nahi wo pata nahi but niche bataye 3 apps ekdum sahi tarike se work karte hai unka performance badhiya hai already me unhe try kar chuka hu uske baad hi aapko bata raha hun.

Maine kuch din pahele mobile me internet data kaise bachaye / save kare ye article bhi likha hai aap chahe to ise read kar sakte hai.

( 1 ) Speed Test

1. Aapko play store par speedtest by ookla name ka app milega use download karle.

2. App installed ho jane ke baad use open kare, app open hone ke baad thodi der wait kare jab tak wo load hota hai fir aapko " Begin Test " button dikhega uspe click kare.

Internet speed kaise check karte hai

Ab process start ho jayegi 1 minute me aapke samne download or upload speed ka result hoga.

Aap chaho to setting me jake kuch changes kar sakte ho or konsi company hosted hai wo information bhi pata chal jayegi.

( 2 ) Internet Speed Check 2018

1. Firstly play store se Internet speed check 2018 app download karle, ye 2018 ka new app hai or kafi acche se kaam karta hai.

2. App installed ho jane ke baad use open kare, aapko kuch lines dikhai degi unhe padhe or " Begin Test Now " par press kare.

Internet speed test kaise kare

Aapke samne BING, download or upload test start hoga thodi der wait kare fir result samne hoga.

( 3 )  Internet Speed

Isme aapko daily data kitna use hua, internet speed test or graph bhi dekhne ko milega or ek acchi baat ye app notification baar me aapko live speed show karega.

1. Is app ko bhi kafi log use kar rahe hai or iska performance bhi badhiya hai so ise pahele play store se download karle.

2. Application Installed hote hi use open kare.




Speed test option me jaiye or " begin test " par click kare.

Good, thodi hi der me result aapke samne hoga.

I hope ki internet speed kaise check kare - how to check Internet speed in hindi article aapko jarur pasand aaya hoga to aap is tarah easily in popular apps ka use karke mobile ki Internet speed check kar sakte ho, agar aapko koi problem aaye to comment jarur kare.

YouTube channel pe video upload kar ke paise kaise kamaye - full information in Hindi







YouTube se paise kamana bahot aasaan hai isi liye bahot sare log full time youtube channel pe work kar ke month ke ₹100,000 se bhi jyda paise kama lete hai youtube se itne paise earn karne ke reason sehi wo job nahi karte hai, iske related maine ek or artcile likha hai par usme maine youtube channel kaise banaye or benefits ke baarein me bataya tha so is artcile me paise kaise kamate hai uski step by step puri jankari batane ki koshish karegi.

Aap kabhi sochte honge ki log youtube pe bahot sare videos upload karte rahte hai kya unko paise milte honge ya fir aese hi interest ke liye so aapko iska answer to mil hi gaya hoga to mujhe batane ki jarurat nahi hai.

Aapko pata hi hoga ki aaj ke time me acchi job milna kitna mushkil hai to kya aap bhi soch rahe hai ki hum bhi ghar bethe jyda paise kamana chahte hai to is article ko pura padhe.

Youtube aaj ke time me bahot popular ban chuka hai ye google kihi service hai. Aap youtube pe videos to dekhte hi honge lekin kya aap jante hai ki youtube se paise bhi earn kiye ja sakte hai i think aapko pata hi hoga par paise kaise kamane hai wo Kuch logo ko nahi pata hoga so aaj me is artcile me bataunga ki YouTube se paise kaise kamate hai.


YouTube channel kya hai ( what are youtube channel ) :



Youtube pe bahot sare har category ke videos mil jate hai wo videos kisine upload kiye hote hai or unko upload karne ke liye hume humari gmail I'd se youtube pe ek account banana raheta hai or waha se youtube Channel create karne ka option aata hai jise bana ke aap videos upload kar sakte hai. ab aap kabhi video dalenge to aapne channel ka jo name diya hai us name se video dekhne waley aapko janenge.



In cheezo ka dhyan rakhe :

First to aapne YouTube channel nahi banayi hai to YouTube channel kaise banaye or benefits artcile padhe or free me apni Channel banaye.

Aapko 10 se jyda video upload karne hai. Aapko Channel ke settings pe dhyan dena hai jaise description, video title, socia media ki link add kare taki log aapse sampark kar paye, about us page me apni information dale ye sab karte hai to aapki channel or acche se money earn karne ke liye ready ho jati hai so ab aap Adsense me apply kar sakte hai.

Aap 5 video upload karenge fir bhi apply kar sakte hai par mera manna hai kam se kam 10 jarur dale.

Create YouTube channel>>upload videos>>monetize videos>>connect channel to Adsense>>now start money earn so guys aapko bas inhi steps ko follow karna raheta hai.

Aapke pass Kon Kon si cheeze honi jaruri hai :


Step 1 :

Aapne YouTube channel banali hai ye to bahot acchi baat hai so YouTube ki duniya me aapka swagat hai. Is field me success hone ke liye aapke pass Kuch cheezo ka hona bahot important hai kyu ki inhi ki wajah se kuch log youtube se paise kamane me nakamyab ho jate hai.

( 1 ) Video quality :

Aapke pass camera hai to bahot acchi baat hai agar nahi hai or aap meri tarah mobile se youtube channel ko handle karte hai to mobile ka front camera 13 MP ka hona jaruri hai tabhi video acchi quality ka aayega. Aapke pass laptop ya computer hai to aap screen recorder softwares ka use kar sakte hai.

( 2 ) Voice ( Aapki aawaj ) :

Aapki aawaj acchi nahi hai ya fir aap acche se bol nahi pata hai or aapne Channel money purpose se banaya hai to please is purpose ko chhod de kyu ki is field me aapki aawaj ko bahot important diya jata hai aap khud bhi soch sakte hai samne waley insaan ko aapki aawaj saaf acche se sunai degi tabhi wo video dekhega.
Note : Jo log acche se bol nahi pate hai wo bhi YouTube se good earning kar rahe hai. Wo bol nahi pate lekin himmat nahi harte wo screen recorder softwares ke jariye mobile/desktop pe screen record karke note me likh ke samjte hai mera matlab text se to aap chahe to inko follow kar sakte hai.

( 3 ) Style :

Aapka video dekhte waqt kisiko aapki style pasand nahi aati to wo dubara video dekhne aayega ya nahi iska koi bharosha nahi hai. Style se me ye samjana chahta hu ki aapka hath, per, eye contact, kaise bethe hai or word me kahu to aapki body language acchi honi chahiye.



( 4 ) Talent :

Aap video ke jariye logo ko kitna sikha sakte ho, kitna impress kar sakte ho.
Aapko nayi nayi cheezo ka knowledge yani aap jis topic pe videos Upolu karne waley hai uski puri information or bahot acche se sikhaye taki aapka new video dekhne ke liye SUBSCRIBER Wait kare.

Step 2 :

Abhi me jin cheezo ke baarein me bataunga wo aapke pass honi jaruri hai tabhi good earning kar payenge.

( 1 ) camera :

Aapke pass camera hoga to aap video ko or acche se high quality me bana ke upload kar sakte hai taki video dekhne me sabko acccha lage. Maine aapko pahle bhi bataya ki aapke pass camera nahi bhi hoga to chalega but ye hoga to thoda accha rahega aapka kaam aasaani se ho payega ya fir mobile ya laptop/computer ka use kar sakte hai.

( 2 ) Video editing :

Aapko thoda bahut video banana accha chahiye kyu ki youtube pe video upload karne ke liye hume usko acche se ready karna raheta hai or uske liye basic video editing ki knowledge honi bahot jarari hai. Play store pe aapko video editing ke bahot sare software mil jayenge aap jiska use karna chahe kar sakte but video aesa banna chahiye Jo logo ko impress kare.

( 3 ) Computer/laptop :

Aapke pass computer ya laptop ka hona jaruri hai agar ye cheeze aapke pass hai to aasaani se Sara kaam kar payenge. Agar aap sochte hai ki humare pass laptop/computer nahi hai to kaise kaam karenge to simple si baat hai acche mobile ka use kar lo or thodi earning hone pe laptop lelo.

( 4 ) Good audience :

Social media jaise facebook, whatsapp, Twitter, google plus in pe aapke friends hone chahiye kyu video banane ke baad aap uski link social media pe share karoge tabhi dheere dheere log aayenge matlab traffic badega.



Social media pe aapke jyda dost nahi hai to no problem video ko bahot accha or youtube friendly banane ki koshish kare ki koi bhi aapke topic related Kuch search kare to aapka video usko pahle show ho isse aapke visitors badne lagenge or jinko Channel pasand aayega wo turant SUBSCRIBE kar lenge.

Dosto aapne ye Jana ki video upload karne se pahle aapke pass konsi cheeze honi jaruri hai to chaliye ab jante hai videos se earning kaise kare.

Youtube channel se income kaise kare :


Hum jab koi naya work start karte hai tab hume uske baarein me jyda jankari nahi hoti hai or hum uski wajah se kuch na kuv uske baarein me naya sikhne me liye ready rahte hai, aap itna to jaan hi gaye hai ki videos upload karne se paisa milta hai.
Mera manna hai ki hume koi kaam start karne se pahle theorical knowledge pahle le Lena chahiye taki badi galti karne se bach sake.

Youtube pe videos upload karne se 2 tariko se paisa milta hai.

( 1 ) Aapke video ko log jab dekhenge tab unpe Overlay ads, Sponsored ads, Skippable video ads show hongi agar unpe koi click karta hai to aapki income hogi.

( 2 ) Big companys jaise amazon, affiliate, Godaddy etc Affiliate program chalati hai so aap isko use karna chahe to join ho sakte hai or aap youtube pe koi product promote karoge to usko koi buy karega to aapko uska kuch commission milega. Maine Amazon affiliate program ke baarein detail me jankari di hai use padhna chahe to yaha click kar sakte hai.

India, Pakistan jaisi countrys me Adsense ek click pe $0.01 se $5 de sakta hai jabki US, UK me $2 se $10 iska reason ye hai ki waha ke log online services ko use karne me mahir hai jab ki humare yaha ke log online services ka benefit lene me jyda interested nahi hote hai isi liye kuch log jyda money earn karne ke liye jyda CPC wali country's ko target karte hai.

CPC :-  YouTube ke ads pe click hone ka jo paisa milta hai ise CPC kahte hai CPC $0.01 se start hoti hai ye jitni jyda hoti hai aapko utna jyda paisa milta hai uske liye ye depend karta hai ki aapke Channel pe kish country se traffic aa raha hai.

YouTube se kamaye hue paise Hume kaise milte hai :


Huamre videos pe Jo click hote hai uska paisa humare Adsense account me har roj add hota hai, aapke account me $10 hone pe Adsense aapko address verification pin bhejta hai wo aapko post/courier ke dwara milegi jise aapko 4 month me verify karna rahta hai. Aapke address pe post ke dwara Mili hue pin ko aapko apne adsense account me daal ke confirm karna hai confrim karne ke baad aapke pass bank detail magi jayegi use acche se fill kar de or jab $100 ho jayenge tab Adsense NEFT ( National electronic funds transfer ) ke dwara online aapke bank account me money deposit kar deta hai. Monthly aap $100 plus earn karenge to har month isi tarike se aapke account me paise deposit hote rahenge.


To aapko 3 sawalo ke answer mil chuke hai YouTube channel ke liye Kon Kon si cheeze honi jaruri hai, income/earning kaise hoti hai or humare dwara kamaye gaye paise Hume kaise milte hai to chaliye ab jante hai youtube videos se paise kaise milte hai.

Youtube se kaise kamaye - how to earn money from youtube :


Youtube se kaise kamane ke liye aapko youtube channel banana padega, videos upload karne honge, video ko Monetize karna hoga or Adsense se connect karna hoga. Don't worry guys tension na le me aapko detail me samjane ki koshish karta hu.

Post lambi jarur hai par pura read kariye kyu ki isme Jo jankari milegi wo aapke liye useful hai. YouTube se bahot sare log monthly 100,000 se bhi jyda money earn kar rahe hai aap bhi youtube pe continue mahent karenge to maan lijiye 1 lakh to nahi par 50,000 to kamayenge, to chaliye Kuch steps follow karte hai.

1. Create YouTube channel :

Sabse pahle aapko youtube channel banana hai so  youtube.com pe visit kare or apni Gmail ID se login kar ke Channel bana le.

Aapne Google account/Gmail ID nahi banayi hai to me already Gmail kaise banaye or kaise use kare artcile me detail me likh chuka hu so aap is artcile ko follow karke apni Gmail ID bana sakte hai.

Ab baat aati hai youtube Channel banane ki so me iske related bhi already YouTube channel kaise banaye artcile me likh chuka hu aap use follow kar sakte hai.

2. Upload videos :

Aapko Channel pe pahle 2-5 video upload kar dene hai aap 10 karenge to acchi baat hai or baki sab settings kar ke rakhe jaise art bana le, Channel ko verify kar le or aapne jis I'd send YouTube channel banaya hai google plus pe koi accha profile jarur rakhe.

Agar aapko nahi pata ki youtube pe video kaise upload karte hai to maine iske baarein me pahle sehi  YouTube pe apna video kaise upload kare - full details artcile likh chuka hu.

3. Enable video for Monetization :

Sabse pahle aapko apni Channel verify karni hogi.

Verify your yotube Channel :

( A ) YouTube channel home page me aapko apne photo icon ke pass verify likha hua dikhega uspe click kare.

( B ) Aap channel ko msg ya call ke dwara verify karna chahte hai wo select kare or confrim kare.

( C ) Apna mobile numbre entre kare or submit kar de, yaad rahe mobile aapke pass hi hona chahiye.

( D ) Aapne call/sms Jo method select ki thi uske dwara one time password aayega use entre kar ke submit kar de.

Good, ab aapko yotube Channel verify ho jayegi.

YouTube pe videos dalne ke baad aapko un videos ko monetize karna hai jab aap Monetize karenge to aapke videos pe ads show hona start ho jayenge par aapki income nahi hogi paiso ke liye aapko adsense se apni Channel ko connect karna hoga.

Aap videos ko Monetize karna chahte hai to youtube videos ko monetize or Adsense se kaise connect kare  humra ye artcile jarur padhe.

4. Connect YouTube channel to Adsense :

Aapko money earn karne ke liye channel ko thik se ready kar ke Google Adsense se apni channel ko connect karna hai matlab aapko apply karna hai. Aapki application submit hone ke baad Adsense team aapki Channel ko check karegi or Channel approved hue hai ya nahi uski jankari aapko ek week me email ke dwara mil jayegi.

Aap apni Channel ko Adsense se connect karna chahte hai to humra ye artcile padhe aapko detail me jankari mil jayegi.

Channel ban gayi, video upload, Monetize kar liya or Adsense se connect bhi kar liya to ab aap YouTube se kaise kamane ke liye taiyaar hai bas ab acche acche video bana ke YouTube pe upload kare taki jyda log aapki Channel ko pasnad or SUBSCRIBE kare.

Adsense bahot hi strong or uski policy bahot kathin hai isi liye wo numbre one advertisement compnay hai so aap pahle acche video upload kare views har video pe 1000-2000 honge to or bhi acchi baat hai Adsense me approval pane ke chances bad jayenge.

Post summary :

I hope ki aapko youtube channel kya hai, income kaise hoti hai, earn kiye hue paise kaise milte hai or paise kaise kamaye ye janakri jaan ke accha laga hoga.

Agar aapka koi question ho to comment kar sakte hai. har roj humare new articles ko
padhne ke liye yaha click karke mere fb page ko like kren

Ye artcile aapko Sach me accha laga hoto apne friend's ke sath social media pe jarur share kare.




Amazon affiliate program se online paise kaise kamaye








Kya aap online ghar bethe paisa kamana chahte hai i think aap jarur money earn karna chahenge kyu ki paiso ki to sabko jarurat hoti hai, affiliate program se aap online ghar bethe paise earn kar sakte hai jitni mahenat karte hai utne paise milte hai.

Aap college student ya kahi job karte hai or part time kaam kar ke paise earn karna chahte hai to aap online affiliate program se paise earn kar sakte hai so guys jyda time na lete hue me aapko affiliate program Kya hai or isse hum kaise paise kama sakte hai uske baarein me bata raha raha.

Affiliate program Kya hai ?


Affiliate program ka use kuch company's ne kuch saal pahle se hi start kiya hai, jaise Amazon, Flipkart, Godaddy etc, aapko me abhi amazon affiliate program ke baarein me bataunga.


Aap kisi company ki product ko online promote karte hai or samne wala insaan aapke dwara promote ki gayi product ki link pe click karke product ko kharidta hai to aapko uska kuch commission milta hai.

Aapko kabhi mobile ya koi cheez leni hoto affiliate program aapke kaam aa sakta hai kyu ki aapko product ka 4℅ se 15℅ commission milne ke chances rahte hai har company apne product ka alag alag commission fix karti hai.

Aap soch rahe honge ki company ko kaise pata chalega ki aapke dwara promote ki gayi product ko kisne buy kiya hai so guys jab aap affiliate program join karte hai tab aapko id ya username diya jata hai ab aap jo bhi product promote karoge uski link me aapki id ya username bhi hoga so id ya username ki madad se xyz company ko pata chalta hai ki aapke dwara promote ki gayi product ko kisine buy kiya hai or uska commission aapke affiliate account me deposit kar diya jata hai.





Note : Kuch had tak paise earn karte hai uske baad hi aapke bank account me transfer kiye jate hai jaise ki amazon affiliate me 1000rs earn karne ke baad wo paise bank me deposit ho sakte hai.

Earn kiye hue Paise humare pass kaise aate hai ?

Aap jab kisi bhi company ka affiliate program join karte ho uske baad aapke xyz affiliate program ke account me aapko payment ka option raheta hai usme aapko aapka bank account number, pan card numbre, ifsc code etc information fill karni rahti hai uske baad aapke earn kiye hue paise aapke bank account me online transfer kar diye jate hai so friends ab aap samaj hi gaye honge ki affiliate program kya hai.

Amazon affiliate program ko kaise join kare :

1. Affiliate-program.amazon.in pe jaye agar aap chrome ya Firefox browser ka use karoge to better rahega.

2.

Amazon affiliate ke home page me right side me " join now for free " ka option hoga uspe click kare.

3.

Email or mobile me apna email id dale, niche i am a new customer select kare fir " sign in using our sucure server " pe click kare.



4. Page me aapko kuch details fill karni hai.


My name is : isme aapko apna name likhna hai.

My e-mail address is : yaha aapka e-mail address likha hoga.

Type it again : isme dubara apna e-mail I'd dale jo pahele daala tha.

Enter a new password : aapko apni man pasand ka password dalna hai.

Type it again : yaha aap password dubara daale.

Ab create account pe click kare agar koi problem hogi to aapko alert najar aayega aapne sahi kiya hai to aap next page pe pahoch jayenge.

5. Ek bada page open hoga jisme aapko apni details bharni hai.


Payee name : aapke bank account me aapka name jis tarah se likha hua hai wo dale agar aapne thoda sa bhi galat daal diya to payment ke waqt problem ho sakti hai.

Address line 1 : Apna yaha sirf apne gaav ka name or tehsil ka name likhe.

Address line 2 : yaha apni district ka name likhe.

Address line 3 : apni gali ka name likhe.

City : apni district ka name daale.

State, province or region : apne state ka name enter kare.

Postal code : apni village ka zip/pin code enter kare.



Country : country already selected hogi so yaha aapko kuch nahi karna hai.

Phone numbre : apna permanent numbre enter kare.

Who is the main contact from account ? : Isme first wala option pahle se hi selected hoga so aap yaha bhi Kuch mat kare.

For u.s, tax purposes, are you a u.s person ? : Yes or no option hoga jisme se aapko " NO " select karna hai, aapki web pe us se jyda traffic aata hai to us ko select kar sakte hai.

Ab next pe press kare.

6. Aapki website ya mobile app ki detail yaha fill karni hai.


Enter your website : yaha aapko agar aapki website/blog nahi hai to www.thinkvasava.com enter kar sakte hai aap chahe to kisi or site ka name/url bhi daal sakte hai isse aapko koi problem nahi hogi, site ka name daal ke add button ko dabaye ab niche ek box hoga usme site ka name add ho jayega yaha aap jitni website/blog ka name add karna chaho kar sakte hai, aap chahe to mobile app ka box bhi fill kar sakte hai.
Note : aap apni website/blog ka name dalte hai to better rahega so apni web/blog free me banane ke liye niche di gayi link pe click kare.



Free me blog/website kaise banaye 

Email marketing kya hai or kaise use kare

Ab next pe click kare.

7. firse ek page open hoga jisme aapko kuch details fill karni hai.


What is your preferred associates store id? : yaha aapko apni choose ki ek id generate/banani hai fir enter kar dijiye.

Your website list : aapne jo website/blog ka name diya tha wo yaha hoga.

What are your websites or mobile apps about ? : Aapne jo website/blog ka name Dala tha wo Kya kaam Karti hai uske baarein me kuch likh dena hai.

Which of the following topics best describes your websites or mobile apps ? : Select primary and second topics ka option hoga aapko website kish cheez pe kaam Karti hai uske related topics ko choose karke select kare.

What type of amazon items do you intend to list on your websites or mobile apps ? : Books or clothing pe high commission milta hai so dono mese kisi ek ko select kare.

What type are your websites or mobile apps ? : Website kis type ki hai so select karna hai yaha primary or secondary option hoga dono me apni choose ka option select kare.

How do you drive traffic to your websites ? : Aapke samne bahot option honge par yaha aap blog ya seo ko select kar sakte hai.

How do you utilize your website and apps to generate income : aapke samne 2 option honge unme apne pasand ka option choose kar le.

How do you usually build links ? : Isme aapko blog editor ko select karna hai.

How many total unique visitors does your website get per month ? : yaha less than 500 select kare.

What is your primary reason for joining the Amazon associate program ? : isme other select kare.

How did you hear about us ? : Blog post ko choose kare.
Note : agar aap chahe to upper diye gaye questions me apni pasand ka jawab select kar sakte hai.

Term and conditions ko agree kare, character verification kare or last me sabse niche filish button pe click kare.

Congratulations guys ab aapne amazon affiliate program ko successfully join kar liya hai ab apni man pasand product ki link copy kar ke social media or website pe share kar sakte hai or apne dosto ko kahe sakte hai ki amazon se koi product buy karni hoto mujhe jarur batana, affiliate home page me payment information kar ke link najar aayegi uspe click karke apne bank account ki details fill kar de taki commission direct aapke bank account me transfer hota rahe.

Kis product pe kitna commission milta hai :

Kindle eBooks - 10℅
Consumer Electronics (excl. Data Storage Devices) - 4℅
Mobile Phones - 4℅
Televisions - 4℅
Gift Cards - 2℅
Clothing - 12℅
Shoes - 12℅
Beauty and Health - 10℅
Books - 10℅
Music, Movies, Video games and Software - 6℅
Cars, Motorbikes and Industrial Products - 10℅
Toys and Baby Products - 10℅
Watches - 10℅ 
Jewellery (excluding Gold and Silver coins) - 10℅
Gold and Silver coins - 0.3℅
Home and Kitchen - 10 ℅
Kitchen Appliances - 9℅
Kindle Devices - 10℅
Luggage and Bags - 10℅
Sports, Fitness and Outdoors - 10℅
Office and Stationery - 10℅
Musical Instruments - 10℅
Gourmet and Specialty Foods - 10℅
Data Storage Devices - 2℅
Major Appliances - 6℅
Symphony, Kenstar, Bajaj, Crompton air coolers - 6℅
Others - 10℅

Last words :


Amazon affiliate program kya hai or isko kaise join karna hai ye aapne is article me jana, aasha karta hu ki aapko ye article pasand aaya hoga is article ke baarein me mujhe comment kar ke jarur bataye, is website ke new articles ki jankari ke liye mere fb page ko like kare or  subscribe kare